Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai

Zeb Ghauri

aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    aalam se fuzūñ terā aalam nazar aatā hai

    har husn muqābil meñ kuchh kam nazar aatā hai

    chamkā hai muqaddar kyā is tīra-nasībī

    sūraj bhī shab-e-ġham parcham nazar aatā hai

    hai terī tamannā bas ek bharam qaa.em

    ab varna mire dil meñ kyā dam nazar aatā hai

    tanhā nahīñ rah paatā sahrā meñ bhī dīvāna

    jab ḳhaak uḌātā hai aalam nazar aatā hai

    ai 'zeb' mujhe terī taḳh.īl maujoñ meñ

    hushyārī o mastī sañgam nazar aatā hai

    aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai

    har husn muqabil mein kuchh kam nazar aata hai

    chamka hai muqaddar kya is tira-nasibi ka

    suraj bhi shab-e-gham ka parcham nazar aata hai

    hai teri tamanna ka bas ek bharam qaem

    ab warna mere dil mein kya dam nazar aata hai

    tanha nahin rah pata sahra mein bhi diwana

    jab KHak uData hai aalam nazar aata hai

    ai 'zeb' mujhe teri taKHil ki maujon mein

    hushyari o masti ka sangam nazar aata hai

    Source:

    zartaab (Pg. 251)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now