Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai

Muneer Shikohabadi

aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai

Muneer Shikohabadi

MORE BYMuneer Shikohabadi

    aamad tasavvur-e-but-e-bedād-gar hai

    dil bhī luuT ḳhāna-ḳharābī jigar hai

    taqdīr kajī ho ki TeḌhā ho āsmāñ

    ye sab ināyat aap tirchhī nazar hai

    ik baar tiir maar ke ab tak ḳhabar na

    yārab nigāh-e-mast ye kis be-ḳhabar hai

    ye rañg-o-bū kahāñ gul-e-tar ko nasīb thā

    utrī huī qabā kisī rashk-e-qamar hai

    phir bhī kabhī nigāh-e-karam hogī is taraf

    ummīd aaj tak usī pahlī nazar hai

    aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai

    dil ki bhi luT KHana-KHarabi jigar ki hai

    taqdir ki kaji ho ki TeDha ho aasman

    ye sab inayat aap ki tirchhi nazar ki hai

    ek bar tir mar ke ab tak KHabar na li

    yarab nigah-e-mast ye kis be-KHabar ki hai

    ye rang-o-bu kahan gul-e-tar ko nasib tha

    utri hui qaba kisi rashk-e-qamar ki hai

    phir bhi kabhi nigah-e-karam hogi is taraf

    ummid aaj tak usi pahli nazar ki hai

    Source:

    Noquush (Pg. B423 E433)

    • Author: Nuqoosh Press Lahore
      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now