aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil

Riaz Majeed

aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    aañch aa.egī na andar zabāñ tak ai dil

    kitnī der aur mirī jaan kahāñ tak ai dil

    had ziyāda se ziyāda koī to hogī

    aur is hirs phailāv kahāñ tak ai dil

    tajraba tajraba āzād rag-o-pai meñ rahā

    kitnī afsurdagī hai dahr se jaañ tak ai dil

    mahak uḌ jā.egī tafhīm ke lab khulne se

    sahar iblāġh hai zabt-e-bayāñ tak ai dil

    aks o ā.īne sūrat hai hamārā rishta

    huuñ tire saath merā hai jahāñ tak ai dil

    hairat-āsār ajab ḳhvāb liye baiThā huuñ

    shāyad aa jaa.e koī merī dukāñ tak ai dil

    shor se ahl-e-ḳhabar ke hai 'riyāz' āzurda

    koī le jaa.e use be-ḳhabrāñ tak ai dil

    aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil

    kitni der aur meri jaan kahan tak ai dil

    had ziyaada se ziyaada ki koi to hogi

    aur is hirs ka phailaw kahan tak ai dil

    tajraba tajraba aazad rag-o-pai mein raha

    kitni afsurdagi hai dahr se jaan tak ai dil

    mahak uD jaegi tafhim ke lab khulne se

    sahar iblagh ka hai zabt-e-bayan tak ai dil

    aks o aaine ki surat hai hamara rishta

    hun tere sath tu mera hai jahan tak ai dil

    hairat-asar ajab KHwab liye baiTha hun

    shayad aa jae koi meri dukan tak ai dil

    shor se ahl-e-KHabar ke hai 'riyaz' aazurda

    koi le jae use be-KHabran tak ai dil

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now