aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha

Sufi Tabassum

aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    āñkheñ khulī thiiñ sab koī dekhtā na thā

    apne sivā kisī koī āshnā na thā

    yuuñ kho gayā thā husn hujūm-e-nigāh meñ

    ahl-e-nazar ko apnī nazar patā na thā

    dhundlā ga.e the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah

    pahchāntī thī aañkh to dil māntā na thā

    tum paas the tumheñ to huī hogī kuchh ḳhabar

    itnā to apnā shīsha-e-dil be-sadā na thā

    kuchh log the jinheñ ye sa.ādat huī nasīb

    varna yahāñ kise sar-e-mehr-o-vafā na thā

    har samt ho rahā thā añdheroñ azhdahām

    shab kaT chukī thī aur saverā huā na thā

    kyā kyā frāġhateñ thiiñ 'tabassum' hameñ ki jab

    dil par kisī yaad saaya paḌā na thā

    aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha

    apne siwa kisi ka koi aashna na tha

    yun kho gaya tha husn hujum-e-nigah mein

    ahl-e-nazar ko apni nazar ka pata na tha

    dhundla gae the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah

    pahchanti thi aankh to dil manta na tha

    tum pas the tumhein to hui hogi kuchh KHabar

    itna to apna shisha-e-dil be-sada na tha

    kuchh log the jinhen ye saadat hui nasib

    warna yahan kise sar-e-mehr-o-wafa na tha

    har samt ho raha tha andheron ka azhdaham

    shab kaT chuki thi aur sawera hua na tha

    kya kya fraghaten thin 'tabassum' hamein ki jab

    dil par kisi ki yaad ka saya paDa na tha

    Source:

    (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 178)

    • Author: Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
      • Edition: 2008
      • Publisher: Alhamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now