Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen meri talwon se wo mal jae to achchha

Shaikh Ibrahim Zauq

aankhen meri talwon se wo mal jae to achchha

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    āñkheñ mirī talvoñ se vo mal jaa.e to achchhā

    hai hasrat-e-pā-bos nikal jaa.e to achchhā

    jo chashm ki be-nam ho vo ho kor to behtar

    jo dil ki ho be-dāġh vo jal jaa.e to achchhā

    bīmār-e-mohabbat ne liyā tere sambhālā

    lekin vo sambhāle se sambhal jaa.e to achchhā

    ho tujh se ayādat jo na bīmār apne

    lene ko ḳhabar us ajal jaa.e to achchhā

    khīñche dil-e-insāñ ko na vo zulf-e-siyah-fām

    azhdar koī gar us ko nigal jaa.e to achchhā

    tāsīr-e-mohabbat ajab ik hub amal hai

    lekin ye amal yaar pe chal jaa.e to achchhā

    dil gir ke nazar se tirī uThne nahīñ phir

    ye girne se pahle sambhal jaa.e to achchhā

    furqat meñ tirī tār-e-nafas siine meñ mere

    kāñTā khaTaktā hai nikal jaa.e to achchhā

    ai girya na rakh mere tan-e-ḳhushk ko ġharqāb

    lakḌī tarah paanī meñ gal jaa.e to achchhā

    haañ kuchh to ho hāsil samar-e-naḳhl-e-mohabbat

    ye siina phaphūloñ se jo phal jaa.e to achchhā

    vo sub.h ko aa.e to karūñ bātoñ meñ dopahar

    aur chāhūñ ki din thoḌā Dhal jaa.e to achchhā

    Dhal jaa.e jo din bhī to usī tarah karūñ shaam

    aur chāhūñ ki gar aaj se kal jaa.e to achchhā

    jab kal ho to phir vo kahūñ kal tarah se

    gar aaj din bhī yuuñ Tal jaa.e to achchhā

    al-qissa nahīñ chāhtā maiñ jaa.e vo yaañ se

    dil us yahīñ garche bahal jaa.e to achchhā

    hai qat.a rah-e-ishq meñ ai 'zauq' adab shart

    juuñ sham.a ab sar ke bal jaa.e to achchhā

    aankhen meri talwon se wo mal jae to achchha

    hai hasrat-e-pa-bos nikal jae to achchha

    jo chashm ki be-nam ho wo ho kor to behtar

    jo dil ki ho be-dagh wo jal jae to achchha

    bimar-e-mohabbat ne liya tere sambhaala

    lekin wo sambhaale se sambhal jae to achchha

    ho tujh se ayaadat jo na bimar ki apne

    lene ko KHabar us ki ajal jae to achchha

    khinche dil-e-insan ko na wo zulf-e-siyah-fam

    azhdar koi gar us ko nigal jae to achchha

    tasir-e-mohabbat ajab ek hub ka amal hai

    lekin ye amal yar pe chal jae to achchha

    dil gir ke nazar se teri uThne ka nahin phir

    ye girne se pahle hi sambhal jae to achchha

    furqat mein teri tar-e-nafas sine mein mere

    kanTa sa khaTakta hai nikal jae to achchha

    ai girya na rakh mere tan-e-KHushk ko gharqab

    lakDi ki tarah pani mein gal jae to achchha

    han kuchh to ho hasil samar-e-naKHl-e-mohabbat

    ye sina phaphulon se jo phal jae to achchha

    wo subh ko aae to karun baaton mein dopahar

    aur chahun ki din thoDa sa Dhal jae to achchha

    Dhal jae jo din bhi to usi tarah karun sham

    aur chahun ki gar aaj se kal jae to achchha

    jab kal ho to phir wo hi kahun kal ki tarah se

    gar aaj ka din bhi yun hi Tal jae to achchha

    al-qissa nahin chahta main jae wo yan se

    dil us ka yahin garche bahal jae to achchha

    hai qata rah-e-ishq mein ai 'zauq' adab shart

    jun shama tu ab sar hi ke bal jae to achchha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now