Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu thi ki tera dahr bhi shohra howe

Hasan Naim

aarzu thi ki tera dahr bhi shohra howe

Hasan Naim

MORE BYHasan Naim

    aarzū thī ki tirā dahr bhī shohrā hove

    terī nisbat se ġhazal ham-sar-e-zohrā hove

    kaun detā hai mujhe ḳhvāb mash.al har aan

    aas ban kar na vahī qalb meñ Thahrā hove

    ye na mehmān-sarā hai na havas kūcha

    dil meñ vo shaḳhs base aa ke jo gahrā hove

    mauja-e-vaqt meñ rū-posh hai vo māh-e-tamām

    chāñdnī hove jahāñ yaad bajrā hove

    dhuñd dhuñd nazar aayā jidhar bhī dekhā

    merī duniyā mire armāñ na chehrā hove

    dil ke āñgan meñ koī aa ke na jaa.e vāpas

    is ilāqa meñ agar ishq pahrā hove

    us tasvīr meñ yuuñ rañg-e-alāmat rakhiyo

    vo kahīñ nuur kahīñ phuul gajrā hove

    itnī tāsīr to fariyād qismat ho 'na.īm'

    hākim-e-vaqt badal jaa.e jo bahrā hove

    aarzu thi ki tera dahr bhi shohra howe

    teri nisbat se ghazal ham-sar-e-zohra howe

    kaun deta hai mujhe KHwab ki mashal har aan

    aas ban kar na wahi qalb mein Thahra howe

    ye na mehman-sara hai na hawas ka kucha

    dil mein wo shaKHs base aa ke jo gahra howe

    mauja-e-waqt mein ru-posh hai wo mah-e-tamam

    chandni howe jahan yaad ka bajra howe

    dhund hi dhund nazar aaya jidhar bhi dekha

    meri duniya mere arman ka na chehra howe

    dil ke aangan mein koi aa ke na jae wapas

    is ilaqa mein agar ishq ka pahra howe

    us ki taswir mein yun rang-e-alamat rakhiyo

    wo kahin nur kahin phul ka gajra howe

    itni tasir to fariyaad ki qismat ho 'naim'

    hakim-e-waqt badal jae jo bahra howe

    Source:

    Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 190)

    • Author: Ahmad Kafeel
      • Edition: 2006
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now