aasan hain par itne bhi aasan nahin hain
āsān haiñ par itne bhī āsān nahīñ haiñ
phir bhī vo hameñ dekh ke hairān nahīñ haiñ
us shaḳhs ko koī bhī tavaqqo' nahīñ ham se
ham us ke liye sāhib-e-imkān nahīñ haiñ
ḳhush-fahmī meñ the ham ki vo māñgeñge mu'āfī
jo apne ravayye pe pashemān nahīñ haiñ
bikhrāo to shāmil hai tabī'at meñ hamārī
ham gardish-e-daurāñ se pareshān nahīñ haiñ
aasan hain par itne bhi aasan nahin hain
phir bhi wo hamein dekh ke hairan nahin hain
us shaKHs ko koi bhi tawaqqo' nahin hum se
hum us ke liye sahib-e-imkan nahin hain
KHush-fahmi mein the hum ki wo mangenge mu'afi
jo apne rawayye pe pasheman nahin hain
bikhrao to shamil hai tabi'at mein hamari
hum gardish-e-dauran se pareshan nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.