Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasman suraj sitare bahr-o-bar kis ke liye

Najeeb Ahmad

aasman suraj sitare bahr-o-bar kis ke liye

Najeeb Ahmad

MORE BYNajeeb Ahmad

    āsmāñ sūraj sitāre bahr-o-bar kis ke liye

    ye safar kis ke liye raḳht-e-safar kis ke liye

    vo hare din vo bhare mausam to kab ke chuke

    haath phailā.e khaḌe haiñ ab shajar kis ke liye

    din nikalte nikal aa.e the kis khoj meñ

    shaam Dhalte chale aa.e haiñ ghar kis ke liye

    kisī muntazir kab thā magar ye to batā

    umr-bhar dil khulā rakkhā hai dar kis ke liye

    kaun dariyāoñ haibat oḌh kar niklā 'najīb'

    chīḳh uTThe haiñ samundar meñ bhañvar kis ke liye

    aasman suraj sitare bahr-o-bar kis ke liye

    ye safar kis ke liye raKHt-e-safar kis ke liye

    wo hare din wo bhare mausam to kab ke ja chuke

    hath phailae khaDe hain ab shajar kis ke liye

    din nikalte hi nikal aae the kis ki khoj mein

    sham Dhalte hi chale aae hain ghar kis ke liye

    tu kisi ka muntazir kab tha magar ye to bata

    umr-bhar dil ka khula rakkha hai dar kis ke liye

    kaun dariyaon ki haibat oDh kar nikla 'najib'

    chiKH uTThe hain samundar mein bhanwar kis ke liye

    Source:

    Urdu Adab (Pg. 67)

    • Author: Iqbal Hussain
      • Edition: Jan, Feb. Mar 1996
      • Publisher: Iqbal Hussain Publishers
      • Year of Publication: Jan, Feb. Mar 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now