Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaya hai har chaDhai ke baad ek utar bhi

Shakeb Jalali

aaya hai har chaDhai ke baad ek utar bhi

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    aayā hai har chaḌhā.ī ke ba.ad ik utaar bhī

    pastī se ham-kanār mile kohsār bhī

    āḳhir ko thak ke baiTh ga.ī ik maqām par

    kuchh duur mere saath chalī rahguzār bhī

    dil kyuuñ dhaḌakne lagtā hai ubhre jo koī chaap

    ab to nahīñ kisī mujhe intizār bhī

    jab bhī sukūt-e-shām meñ aayā tirā ḳhayāl

    kuchh der ko Thahar gayā ābshār bhī

    kuchh ho gayā hai dhuup se ḳhākistarī badan

    kuchh jam gayā hai raah mujh par ġhubār bhī

    is fāsloñ ke dasht meñ rahbar vahī bane

    jis nigāh dekh le sadiyoñ ke paar bhī

    ai dost pahle qurb nashsha ajiib thā

    maiñ sun sakā na apne badan pukār bhī

    rasta bhī vāpsī kahīñ ban meñ kho gayā

    ojhal huī nigāh se hirnoñ Daar bhī

    kyuuñ ro rahe ho raah ke andhe charāġh ko

    kyā bujh gayā havā se lahū sharār bhī

    kuchh aql bhī hai bā.is-e-tauqīr ai 'shakeb'

    kuchh aa ga.e haiñ bāloñ meñ chāñdī ke taar bhī

    aaya hai har chaDhai ke baad ek utar bhi

    pasti se ham-kanar mile kohsar bhi

    aaKHir ko thak ke baiTh gai ek maqam par

    kuchh dur mere sath chali rahguzar bhi

    dil kyun dhaDakne lagta hai ubhre jo koi chap

    ab to nahin kisi ka mujhe intizar bhi

    jab bhi sukut-e-sham mein aaya tera KHayal

    kuchh der ko Thahar sa gaya aabshaar bhi

    kuchh ho gaya hai dhup se KHakistari badan

    kuchh jam gaya hai rah ka mujh par ghubar bhi

    is faslon ke dasht mein rahbar wahi bane

    jis ki nigah dekh le sadiyon ke par bhi

    ai dost pahle qurb ka nashsha ajib tha

    main sun saka na apne badan ki pukar bhi

    rasta bhi wapsi ka kahin ban mein kho gaya

    ojhal hui nigah se hirnon ki Dar bhi

    kyun ro rahe ho rah ke andhe charagh ko

    kya bujh gaya hawa se lahu ka sharar bhi

    kuchh aql bhi hai bais-e-tauqir ai 'shakeb'

    kuchh aa gae hain baalon mein chandi ke tar bhi

    Source:

    Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 115)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now