Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja

Ali Sardar Jafri

ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    ab aa gayā hai jahāñ meñ to muskurātā

    chaman ke phuul diloñ ke kañval khilātā

    adam hayāt se pahle adam hayāt ke ba.ad

    ye ek pal hai use jāvedāñ banātā

    bhaTak rahī hai añdhere meñ zindagī barāt

    koī charāġh sar-e-rahguzar jalātā

    guzar chaman se misāl-e-nasīm-e-sub.h-e-bahār

    guloñ ko chheḌ ke kāñToñ ko gudgudātā

    rah-e-darāz hai aur duur shauq manzil

    garāñ hai marhala-e-umr giit gaatā

    balā se bazm meñ gar zauq-e-naġhmagī kam hai

    navā-e-talḳh ko kuchh talḳh-tar banātā

    jo ho sake to badal zindagī ko ḳhud varna

    nazhād-e-nau ko tarīq-e-junūñ sikhātā

    dikhā ke jalva-e-fardā banā de dīvāna

    na.e zamāne ke ruḳh se naqāb uThātā

    bahut dinoñ se dil-o-jāñ mahfileñ haiñ udaas

    koī tarāna koī dāstāñ sunātā

    ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja

    chaman ke phul dilon ke kanwal khilata ja

    adam hayat se pahle adam hayat ke baad

    ye ek pal hai use jawedan banata ja

    bhaTak rahi hai andhere mein zindagi ki baraat

    koi charagh sar-e-rahguzar jalata ja

    guzar chaman se misal-e-nasim-e-subh-e-bahaar

    gulon ko chheD ke kanTon ko gudgudata ja

    rah-e-daraaz hai aur dur shauq ki manzil

    garan hai marhala-e-umr git gata ja

    bala se bazm mein gar zauq-e-naghmagi kam hai

    nawa-e-talKH ko kuchh talKH-tar banata ja

    jo ho sake to badal zindagi ko KHud warna

    nazhad-e-nau ko tariq-e-junun sikhata ja

    dikha ke jalwa-e-farda bana de diwana

    nae zamane ke ruKH se naqab uThata ja

    bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilen hain udas

    koi tarana koi dastan sunata ja

    Source:

    Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 147)

    • Author: Ali Ahmad Fatmi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now