Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab band jo is abr-e-guhar-bar ko lag jae

Shakeel Jamali

ab band jo is abr-e-guhar-bar ko lag jae

Shakeel Jamali

MORE BYShakeel Jamali

    ab band jo is abr-e-guhar-bār ko lag jaa.e

    kuchh dhuup hamāre dar-o-dīvār ko lag jaa.e

    palkoñ pe sajā.e raho ummīd ke jugnū

    kyā jāniye kis duā bīmār ko lag jaa.e

    suulī pe bhī is baat koshish hai hamārī

    īsār hamārā tire me.aar ko lag jaa.e

    haq-goī se merī pareshān hai duniyā

    kyā ho ye vabā aur jo do-chār ko lag jaa.e

    thoḌī rahe jeb-e-ḳharīdār kushāda

    thoḌā gahan raunaq-e-bāzār ko lag jaa.e

    ab band jo is abr-e-guhar-bar ko lag jae

    kuchh dhup hamare dar-o-diwar ko lag jae

    palkon pe sajae raho ummid ke jugnu

    kya jaaniye kis ki dua bimar ko lag jae

    suli pe bhi is baat ki koshish hai hamari

    isar hamara tere mear ko lag jae

    haq-goi se meri hi pareshan hai duniya

    kya ho ye waba aur jo do-chaar ko lag jae

    thoDi si rahe jeb-e-KHaridar kushada

    thoDa sa gahan raunaq-e-bazar ko lag jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now