aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab intiha ka tere zikr mein asar aaya

Shad Azimabadi

ab intiha ka tere zikr mein asar aaya

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    ab intihā tire zikr meñ asar aayā

    ki muñh se naam liyā dil meñ utar aayā

    bahut dinoñ pe mirī chashm meñ nazar aayā

    ai ashk ḳhair to hai kidhar kidhar aayā

    hazār shukr ki is dil meñ nazar aayā

    ye naqsha safha-e-ḳhālī pe jald utar aayā

    bashar habāb sūrat hameñ nazar aayā

    bharī jo qatre ke andar havā ubhar aayā

    zabāñ pe aatā hai naala bhī sau karishmoñ se

    kahāñ se aap ke andāz asar aayā

    adam meñ aish hai chaltā huuñ maiñ bhī le ai dil

    jahāñ meñ jitne musībat ke din the bhar aayā

    likhe ko roiye ab ta-ba-hashr turbat meñ

    ki mere marne pe ḳhat le ke nāma-bar aayā

    paḌā hai shab se yuuñ ab talak na karvaT

    dil-e-sitam-zada us galī se mar aayā

    hazār shukr ḳhudā yahī ġhanīmat hai

    na ḳhair aayā mire dil ko aur shar aayā

    riyā to dil meñ thī māthe pe ab hai us nishāñ

    kahāñ daaġh kahāñ daf.atan ubhar aayā

    muqīm-e-dil hai Dañvāñ Dol rah ke ab īmāñ

    butoñ ke qahr se chhūTā ḳhudā ke ghar aayā

    hamāre pā-e-talab ne baḌī muhim sar

    ki kaT ke sāmne qātil ke apnā sar aayā

    sharāb ke maiñ pahuñchā falak pe ai saaqī

    kahāñ se un ka.ī qatroñ meñ ye asar aayā

    vo chāhe bad kahe qāsid butoñ ko mujh ko

    haram meñ chain se īmān ke dhar aayā

    lahad meñ shāna hilā kar ye maut kahtī hai

    le ab to chauñk musāfir ki apne ghar aayā

    hazār shukr huā āftāb-e-hashr tulū

    baḌī to laaj rahī ye ki nazar aayā

    gavāhiyāñ huiiñ aazā hashr meñ maqbūl

    vo paak ho ga.e ilzām mere sar aayā

    hujūm-e-ġham ne sikhāne laakh koshish

    hameñ to aah bhī karnā na umr bhar aayā

    jo chand din meñ hue zī-kamāl kaun haiñ 'shād'

    hameñ to sher kahnā na umr bhar aayā

    usī ko sher samajhte haiñ 'shād' ahl-e-mazāq

    udhar paḌhā ki diloñ meñ idhar utar aayā

    ab intiha ka tere zikr mein asar aaya

    ki munh se nam liya dil mein tu utar aaya

    bahut dinon pe meri chashm mein nazar aaya

    ai ashk KHair to hai tu kidhar kidhar aaya

    hazar shukr ki is dil mein tu nazar aaya

    ye naqsha safha-e-KHali pe jald utar aaya

    bashar habab ki surat hamein nazar aaya

    bhari jo qatre ke andar hawa ubhar aaya

    zaban pe aata hai nala bhi sau karishmon se

    kahan se aap ke andaz ka asar aaya

    adam mein aish hai chalta hun main bhi le ai dil

    jahan mein jitne musibat ke din the bhar aaya

    likhe ko roiye ab ta-ba-hashr turbat mein

    ki mere marne pe KHat le ke nama-bar aaya

    paDa hai shab se yun hi ab talak na li karwaT

    dil-e-sitam-zada us ki gali se mar aaya

    hazar shukr KHuda ka yahi ghanimat hai

    na KHair aaya mere dil ko aur shar aaya

    riya to dil mein thi mathe pe ab hai us ka nishan

    kahan ka dagh kahan dafatan ubhar aaya

    muqim-e-dil hai Danwan Dol rah ke ab iman

    buton ke qahr se chhuTa KHuda ke ghar aaya

    hamare pa-e-talab ne baDi muhim sar ki

    ki kaT ke samne qatil ke apna sar aaya

    sharab pi ke main pahuncha falak pe ai saqi

    kahan se un kai qatron mein ye asar aaya

    wo chahe bad kahe qasid buton ko ya mujh ko

    haram mein chain se iman ja ke dhar aaya

    lahad mein shana hila kar ye maut kahti hai

    le ab to chaunk musafir ki apne ghar aaya

    hazar shukr hua aaftab-e-hashr tulu

    baDi to laj rahi ye ki tu nazar aaya

    gawahiyan huin aaza ki hashr mein maqbul

    wo pak ho gae ilzam mere sar aaya

    hujum-e-gham ne sikhane ki lakh koshish ki

    hamein to aah bhi karna na umr bhar aaya

    jo chand din mein hue zi-kamal kaun hain 'shad'

    hamein to sher ka kahna na umr bhar aaya

    usi ko sher samajhte hain 'shad' ahl-e-mazaq

    udhar paDha ki dilon mein idhar utar aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now