Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ke bikhra to main yakja nahin ho paunga

Rahul Jha

ab ke bikhra to main yakja nahin ho paunga

Rahul Jha

MORE BYRahul Jha

  ab ke bikhrā to maiñ yakjā nahīñ ho pā.ūñgā

  tere hāthoñ se bhī vaisā nahīñ ho pā.ūñgā

  mujh ko bīmār karegī tirī aadat ik din

  aur phir tujh se bhī achchhā nahīñ ho pā.ūñgā

  ye to mumkin hai ki ho jā.ūñ tirā ḳhair-andesh

  haañ magar is se ziyāda nahīñ ho pā.ūñgā

  ab mirī zaat meñ bas ek gunjā.ish hai

  maiñ huā dhuup to saaya nahīñ ho pā.ūñgā

  yuuñ to mushkil bahut hai mirā haath aanā aur

  haath aayā to gavāra nahīñ ho pā.ūñgā

  baḌī der se aayā mujhe zinda karne

  ab namī ke bhī sabza nahīñ ho pā.ūñgā

  mujh meñ itnī nahīñ tāsīr masīhā.ī

  zaḳhm bhar saktā huuñ iisā nahīñ ho pā.ūñgā

  in dinoñ aql chaltī hai hukūmat dil pe

  maiñ jo chāhūñ bhī tumhārā nahīñ ho pā.ūñgā

  itnā ābād hai tujh se mire andar shahr

  tujh se bichhḌā bhī to sahrā nahīñ ho pā.ūñgā

  ab ke bikhra to main yakja nahin ho paunga

  tere hathon se bhi waisa nahin ho paunga

  mujh ko bimar karegi teri aadat ek din

  aur phir tujh se bhi achchha nahin ho paunga

  ye to mumkin hai ki ho jaun tera KHair-andesh

  han magar is se ziyaada nahin ho paunga

  ab meri zat mein bas ek ki gunjaish hai

  main hua dhup to saya nahin ho paunga

  yun to mushkil hi bahut hai mera hath aana aur

  hath aaya to gawara nahin ho paunga

  tu baDi der se aaya mujhe zinda karne

  ab nami pa ke bhi sabza nahin ho paunga

  mujh mein itni nahin tasir masihai ki

  zaKHm bhar sakta hun isa nahin ho paunga

  in dinon aql ki chalti hai hukumat dil pe

  main jo chahun bhi tumhaara nahin ho paunga

  itna aabaad hai tujh se mere andar ka shahr

  tujh se bichhDa bhi to sahra nahin ho paunga

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now