Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab main payam-e-fasl-e-bahaaran ko kya karun

Ehsas Muradabadi

ab main payam-e-fasl-e-bahaaran ko kya karun

Ehsas Muradabadi

MORE BYEhsas Muradabadi

    ab maiñ payām-e-fasl-e-bahārāñ ko kyā karūñ

    dāman kahāñ se lā.ūñ garebāñ ko kyā karūñ

    tāsīr-e-sozish-e-ġham-e-pinhāñ ko kyā karūñ

    rañg-e-parīda-e-ruḳh-e-jānāñ ko kyā karūñ

    paidā yahīñ se merā nasheman bhī ho to jaa.e

    be-e'tibārī-e-ġham-e-zindāñ ko kyā karūñ

    terī navāzishoñ ne bikhere hazār gul

    lekin maiñ apnī tañgī-e-dāmāñ ko kyā karūñ

    yuuñ to har ek dard ne baḳhshī hayāt-e-nau

    maiñ fitrat-e-hayāt-e-gurezāñ ko kyā karūñ

    tum kyā mile ki mil ga.iiñ saarī masarrateñ

    ab ye batāo dīda-e-giryāñ ko kyā karūñ

    'ehsās' kaise kaise huī thī sahar nasīb

    phir aa rahī hai ab shab-e-hijrāñ ko kyā karūñ

    ab main payam-e-fasl-e-bahaaran ko kya karun

    daman kahan se laun gareban ko kya karun

    tasir-e-sozish-e-gham-e-pinhan ko kya karun

    rang-e-parida-e-ruKH-e-jaanan ko kya karun

    paida yahin se mera nasheman bhi ho to jae

    be-e'tibari-e-gham-e-zindan ko kya karun

    teri nawazishon ne bikhere hazar gul

    lekin main apni tangi-e-daman ko kya karun

    yun to har ek dard ne baKHshi hayat-e-nau

    main fitrat-e-hayat-e-gurezan ko kya karun

    tum kya mile ki mil gain sari masarraten

    ab ye batao dida-e-giryan ko kya karun

    'ehsas' kaise kaise hui thi sahar nasib

    phir aa rahi hai ab shab-e-hijran ko kya karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now