ab meri kahani
ab mirī kahānī
kyā tujhe sunānī
merī zindagānī
jaise Thahrā paanī
ye badan hai ḳhākī
yā hai āsmānī
kyā alam hai socho
kyā hai shādmānī
ḳhvāb ke jahāñ meñ
kyā yaqīñ gumānī
ek zard Tahnī
jis ke barg dhānī
maah aur dariyā
uf ye zau-fishānī
maah aur maahī
khel jāvedānī
kohsār sādhū
vo guphā purānī
ik makāñ ke andar
hai ye lā-makānī
ik safar hai darpesh
ham ko lā-zamānī
thoḌī der baiTho
chal raheñge 'sānī'
ab meri kahani
kya tujhe sunani
meri zindagani
jaise Thahra pani
ye badan hai KHaki
ya hai aasmani
kya alam hai socho
kya hai shadmani
KHwab ke jahan mein
kya yaqin gumani
ek zard Tahni
jis ke barg dhani
mah aur dariya
uf ye zau-fishani
mah aur mahi
khel jawedani
kohsar sadhu
wo gupha purani
ek makan ke andar
hai ye la-makani
ek safar hai darpesh
hum ko la-zamani
thoDi der baiTho
chal rahenge 'sani'
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 50)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.