Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab wo sab kuchh kar rahe hain dosti ki aaD mein

Aamir Ata

ab wo sab kuchh kar rahe hain dosti ki aaD mein

Aamir Ata

MORE BYAamir Ata

    ab vo sab kuchh kar rahe haiñ dostī aaḌ meñ

    ġhair mumkin thā jo shāyad dushmanī aaḌ meñ

    is qadar naḳhre na kar ai maut aa sāmne

    kab talak chhup kar rahegī zindagī aaḌ meñ

    aaj ik mahfil meñ jab us se nazar Takrā ga.ī

    ham ne kah dil bāteñ shā.erī aaḌ meñ

    ik salīqe se kiyā hai phuul de kar phuul ko

    ishq iz.hār chaudah farvarī aaḌ meñ

    pichhlī shab vāqi.a ab kyā batā.ūñ dostoñ

    chuum aaya chāñd ko maiñ tīrgī aaḌ meñ

    ab wo sab kuchh kar rahe hain dosti ki aaD mein

    ghair mumkin tha jo shayad dushmani ki aaD mein

    is qadar naKHre na kar ai maut aa ja samne

    kab talak chhup kar rahegi zindagi ki aaD mein

    aaj ek mahfil mein jab us se nazar Takra gai

    hum ne kah di dil ki baaten shaeri ki aaD mein

    ek saliqe se kiya hai phul de kar phul ko

    ishq ka izhaar chaudah farwari ki aaD mein

    pichhli shab ka waqia ab kya bataun doston

    chum aaya chand ko main tirgi ki aaD mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now