aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab zindagi mein hosh ka imkan to gaya

Muneer Bhopali

ab zindagi mein hosh ka imkan to gaya

Muneer Bhopali

MORE BYMuneer Bhopali

    ab zindagī meñ hosh imkān to gayā

    lekin tirī nigāh ko pahchān to gayā

    ab bhī hai ye ḳhayāl kisī tarah dekh luuñ

    maanā ki dil se chaah armān to gayā

    mānūs ġham se ban ke raheñ kyoñ na dahr meñ

    hāsil kabhī ḳhushī ho ye imkān to gayā

    ai kaash be-ḳhudī bhī anjām dekh luuñ

    dil tarah se hosh imkān to gayā

    achchhā huā ki va.ade se inkār kar diyā

    har vaqt ye haath meñ qur.ān to gayā

    us but ai 'munīr' nigāhoñ meñ sehr thā

    go jaan bach ga.ī magar īmān to gayā

    ab zindagi mein hosh ka imkan to gaya

    lekin teri nigah ko pahchan to gaya

    ab bhi hai ye KHayal kisi tarah dekh lun

    mana ki dil se chah ka arman to gaya

    manus gham se ban ke rahen kyon na dahr mein

    hasil kabhi KHushi ho ye imkan to gaya

    ai kash be-KHudi ka bhi anjam dekh lun

    dil ki tarah se hosh ka imkan to gaya

    achchha hua ki wade se inkar kar diya

    har waqt ka ye hath mein quran to gaya

    us but ki ai 'munir' nigahon mein sehr tha

    go jaan bach gai magar iman to gaya

    Source:

    Deewan-e-Muneer (Pg. 15)

    • Author: Muneer Bhopali
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now