aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho

Nazm Tabatabai

abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    abas hai nāz-e-istiġhnā pe kal kyā ḳhabar kyā ho

    ḳhudā ma.alūm ye sāmān kyā ho jaa.e sar kyā ho

    ye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā ho

    na ho jab dard yā-rab to dil kyā ho jigar kyā ho

    jahāñ insān kho jaatā ho ḳhud phir us mahfil meñ

    rasā.ī kis tarah ho daḳhl kyūñkar ho guzar kyā ho

    na pūchhūñgā maiñ ye bhī jaam meñ hai zahr amrit

    tumhāre haath se andesha-e-naf-o-zarar kyā ho

    muravvat se ho begāna vafā se duur ho kosoñ

    ye sach hai nāznīñ ho ḳhūbsūrat ho magar kyā ho

    shagūfe dekh kar muTThī meñ zar ko muskurāte haiñ

    ki jab umr is qadar kotāh rakhte haiñ to zar kyā ho

    rahā kartī hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyā.ī par

    ḳhudā se jo nahīñ Dartā use bande Dar kyā ho

    kahā maiñ ne ki 'nazm'-e-mubtalā martā hai hasrat meñ

    kahā us ne agar mar jaa.e to merā zarar kyā ho

    kahā maiñ ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahīñ kartā

    kahā is ijāzat nahīñ phir nauhagar kyā ho

    kahā maiñ ne ki de us ko ijāzat aah karne

    kahā us ne bhaḌak uTThe agar soz-e-jigar kyā ho

    kahā maiñ ne ki aañsū aañkh lekin nahīñ thamtā

    kahā āñkheñ koī talvoñ se mal Daale agar kyā ho

    kahā maiñ ne qadam bhar par hai vo sūrat dikhā aao

    kahā muñh pher kar itnā kisī ko dard-e-sar kyā ho

    kahā maiñ ne asar mutlaq nahīñ kyā sañg-dil hai

    kahā jab dil ho patthar to patthar par asar kyā ho

    kahā maiñ ne jo mar jaa.e to kyā ho soch dil meñ

    kahā nā-āqibat-andesh ne kuchh soch kar kyā ho

    kahā maiñ ne ḳhabar bhī hai ki jaañ us ne ghuT ghaT kar

    kahā mar jaa.e chupke se to phir mujh ko ḳhabar kyā ho

    abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho

    KHuda malum ye saman kya ho jae sar kya ho

    ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho

    na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho

    jahan insan kho jata ho KHud phir us ki mahfil mein

    rasai kis tarah ho daKHl kyunkar ho guzar kya ho

    na puchhunga main ye bhi jam mein hai zahr ya amrit

    tumhaare hath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho

    murawwat se ho begana wafa se dur ho koson

    ye sach hai naznin ho KHubsurat ho magar kya ho

    shagufe dekh kar muTThi mein zar ko muskuraate hain

    ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho

    raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par

    KHuda se jo nahin Darta use bande ka Dar kya ho

    kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein

    kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho

    kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta

    kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho

    kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki

    kaha us ne bhaDak uTThe agar soz-e-jigar kya ho

    kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta

    kaha aankhen koi talwon se mal Dale agar kya ho

    kaha main ne qadam bhar par hai wo surat dikha aao

    kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho

    kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu

    kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho

    kaha main ne jo mar jae to kya ho soch tu dil mein

    kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho

    kaha main ne KHabar bhi hai ki di jaan us ne ghuT ghaT kar

    kaha mar jae chupke se to phir mujh ko KHabar kya ho

    Source:

    Deewan-e-Tabatabai (Rekhta Website) (Pg. 172)

    • Author: Nazm Tabatabai
      • Edition: 1933
      • Publisher: Maktaba Ibrahimiya, Hyderabad
      • Year of Publication: 1933

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now