aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi diwangi mein kuchh kami mahsus hoti hai

Jigar Barelvi

abhi diwangi mein kuchh kami mahsus hoti hai

Jigar Barelvi

MORE BYJigar Barelvi

    abhī dīvāngī meñ kuchh kamī mahsūs hotī hai

    abhī ai shiddat-e-ġham zindagī mahsūs hotī hai

    abhī mujh meñ koī shai aur bhī mahsūs hotī hai

    abhī idrāk-e-vahdat meñ kamī mahsūs hotī hai

    na jaane zaḳhm-e-dil aaj gahrā.ī kahāñ pahuñchī

    phaTā jaatā hai siina vo ḳhushī mahsūs hotī hai

    samāyā jaatā hai jaise koī rag rag meñ dil ban kar

    yūñhī ġham meñ koī shai aur bhī mahsūs hotī hai

    shab-e-tārīk hai vīrāna hai mahviyyat-e-ġham hai

    ajab aalam meñ qurbat aap mahsūs hotī hai

    azal se maut ne ab tak ka.ī qālib badalvā.e

    magar jo choT thī dil meñ vahī mahsūs hotī hai

    jahāñ vo baiTh jaa.e gir ke manzil hai vahī us

    jise har gaam par vāmāñdgī mahsūs hotī hai

    kisī yaad ko har dam bhulā.e rakhtā huuñ phir bhī

    khaTaktī dil meñ nok-e-ḳhār mahsūs hotī hai

    bayābāñ kashish ab le uḌegī dil ke zarroñ ko

    ki har har saañs par vāraftagī mahsūs hotī hai

    jahāñ dil zabt-e-ġham se ḳhuun ho jaatā hai siina meñ

    vahīñ kuchh ruuh ko bālīdgī mahsūs hotī hai

    agar siine meñ dil rakhte ho tum to aaj batlā do

    tumheñ bhī merī betābī kabhī mahsūs hotī hai

    vafūr-e-talḳh-kāmī se ye uqda khul gayā āḳhir

    jo hotī hai to ġham meñ zindagī mahsūs hotī hai

    koī jiine ko samjhe māya-e-ishrat burā kyā hai

    mujhe to ik ibādat zindagī mahsūs hotī hai

    ġhazal se ai 'jigar' andāza kar merī tabī.at

    ġhazal meñ kaifiyat kuchh ruuh mahsūs hotī hai

    abhi diwangi mein kuchh kami mahsus hoti hai

    abhi ai shiddat-e-gham zindagi mahsus hoti hai

    abhi mujh mein koi shai aur bhi mahsus hoti hai

    abhi idrak-e-wahdat mein kami mahsus hoti hai

    na jaane zaKHm-e-dil ki aaj gahrai kahan pahunchi

    phaTa jata hai sina wo KHushi mahsus hoti hai

    samaya jata hai jaise koi rag rag mein dil ban kar

    yunhi gham mein koi shai aur bhi mahsus hoti hai

    shab-e-tarik hai virana hai mahwiyyat-e-gham hai

    ajab aalam mein qurbat aap ki mahsus hoti hai

    azal se maut ne ab tak kai qalib badalwae

    magar jo choT thi dil mein wahi mahsus hoti hai

    jahan wo baiTh jae gir ke manzil hai wahi us ki

    jise har gam par wamandgi mahsus hoti hai

    kisi ki yaad ko har dam bhulae rakhta hun phir bhi

    khaTakti dil mein nok-e-KHar si mahsus hoti hai

    bayaban ki kashish ab le uDegi dil ke zarron ko

    ki har har sans par waraftagi mahsus hoti hai

    jahan dil zabt-e-gham se KHun ho jata hai sina mein

    wahin kuchh ruh ko baalidgi mahsus hoti hai

    agar sine mein dil rakhte ho tum to aaj batla do

    tumhein bhi meri betabi kabhi mahsus hoti hai

    wafur-e-talKH-kaami se ye uqda khul gaya aaKHir

    jo hoti hai to gham mein zindagi mahsus hoti hai

    koi jine ko samjhe maya-e-ishrat bura kya hai

    mujhe to ek ibaadat zindagi mahsus hoti hai

    ghazal se ai 'jigar' andaza kar meri tabiat ka

    ghazal mein kaifiyat kuchh ruh ki mahsus hoti hai

    Source:

    Partav-e-ilhaam (Pg. 119)

    • Author: Jigar Barelvi
      • Edition: 2012
      • Publisher: Publisher Nizami Book Agency, Budaun
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now