abhi se lae ho kyon dil ki rah par usko
abhī se laa.e ho kyoñ dil kī raah par us ko
bhaTakne denā thā kuchh din idhar-udhar us ko
vo musht-e-ḳhāk ki uḌne se āshnā hī na thī
lagā diye haiñ tamanna ne bāl-o-par us ko
na jaane kab vo mujhe chhoḌ kar chalā jaa.e
maiñ zindagī kī tarah kar chukā basar us ko
is iḳhtisār kī tafsīl kaun dekhegā
bikhar gayā huuñ maiñ kitnā sameT kar us ko
na ḳhvāb hī se jagāyā na intizār kiyā
ham is daf'a bhī chale aa.e chuum kar us ko
vo jis kā naam bhī sunñā hameñ pasand na thā
kiyā hai roz ke jhagḌoñ ne mo'tabar us ko
chalā gayā thā vo kashtī meñ baiTh kar 'tābish'
havā hai shahr meñ kyā is kī kyā ḳhabar us ko
abhi se lae ho kyon dil ki rah par us ko
bhaTakne dena tha kuchh din idhar-udhar us ko
wo musht-e-KHak ki uDne se aashna hi na thi
laga diye hain tamanna ne baal-o-par us ko
na jaane kab wo mujhe chhoD kar chala jae
main zindagi ki tarah kar chuka basar us ko
is iKHtisar ki tafsil kaun dekhega
bikhar gaya hun main kitna sameT kar us ko
na KHwab hi se jagaya na intizar kiya
hum is daf'a bhi chale aae chum kar us ko
wo jis ka nam bhi sunna hamein pasand na tha
kiya hai roz ke jhagDon ne mo'tabar us ko
chala gaya tha wo kashti mein baiTh kar 'tabish'
hawa hai shahr mein kya is ki kya KHabar us ko
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 66)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.