Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abr uTTha hai gire qatra-e-baran sir par

Mohsin Khan Mohsin

abr uTTha hai gire qatra-e-baran sir par

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    abr uTThā hai gire qatra-e-bārāñ sir par

    guyyāñ hushiyār ki hai aish sāmāñ sar par

    karte kyā kyā nahīñ vo ranj ke sāmāñ sar par

    rakhte haiñ buā roz muġhal jaañ sar par

    ab na jā.eñge chhināloñ galī meñ mirzā

    qasmeñ khāte haiñ buā rakhte haiñ qur.āñ sar par

    hasrat-e-dīd hai jaañ tan se na niklegī buā

    kyoñ farishte haiñ liye maut chālāñ sar par

    bigḌe tevar haiñ ulajhte haiñ ḳhafā hote haiñ

    shaiḳh ke hai buā aaj bhī shaitāñ sar par

    saath ranDī ke chale mirzā kis shaan ke saath

    dahnā baġhloñ meñ dabā.e hue bāyāñ sar par

    chuTkiyāñ saaf kahe detī haiñ dil ham se

    pīr-o-murshid hai vahī aaj bhī shaitāñ sar par

    ab farangī haiñ buā taḳht pe ham bāj-guzār

    kabhī rakhte the yahāñ taaj musalmāñ sar par

    abr uTTha hai gire qatra-e-baran sir par

    guyyan hushiyar ki hai aish ka saman sar par

    karte kya kya nahin wo ranj ke saman sar par

    rakhte la la hain bua roz mughal jaan sar par

    ab na jaenge chhinalon ki gali mein mirza

    qasmen khate hain bua rakhte hain quran sar par

    hasrat-e-did hai jaan tan se na niklegi bua

    kyon farishte hain liye maut ka chaalan sar par

    bigDe tewar hain ulajhte hain KHafa hote hain

    shaiKH ji ke hai bua aaj bhi shaitan sar par

    sath ranDi ke chale mirza ji kis shan ke sath

    dahna baghlon mein dabae hue bayan sar par

    chuTkiyan saf kahe deti hain dil ki hum se

    pir-o-murshid hai wahi aaj bhi shaitan sar par

    ab farangi hain bua taKHt pe hum baj-guzar

    kabhi rakhte the yahan taj musalman sar par

    Source:

    Rekhti (Pg. 576)

    • Author: Rangin Saadat Yaar Khan, Mohsin Khan Mohsin, Insha Allah Khan Insha, Meer Yaar Ali Jaan
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd, New Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now