Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adu ki bazm mein ai bazm ye shab to basar kar lo

Aashiq Husain Bazm Afandi

adu ki bazm mein ai bazm ye shab to basar kar lo

Aashiq Husain Bazm Afandi

MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi

    adū bazm meñ ai 'bazm' ye shab to basar kar lo

    agar dekhā nahīñ jaatā to muñh apnā udhar kar lo

    evaz ulfat ke dil hai faisla bāham-digar kar lo

    razā ke saath hai saudā na Dar kar do na Dar kar lo

    bigaḌne bhalā hai vasl sohbat meñ kyā mauqa

    badī ye kab thī aise meñ tum apnā muñh udhar kar lo

    fanā honā hai jab ġham aur ḳhushī phir sab barābar hai

    jahāñ meñ chaar din ziist kaisī basar kar lo

    ḳhushā-shoḳhī dupaTTa jab haTā siine se farmāyā

    tumheñ merī qasam hai muñh na apnā gar udhar kar lo

    jab apne ġham qissa baiThtā huuñ un se kahne ko

    to kahte haiñ lab apne ḳhushk kar lo chashm tar kar lo

    ishāre par tumhāre chal rahā hai ālam-e-imkāñ

    usī jānib ho sab ruḳh tum apnā muñh jidhar kar lo

    shikāyat jab kabhī jaur-o-jafā un se kartā huuñ

    to saḳhtī se ye farmāte haiñ patthar jigar kar lo

    bharosa us rahmat par hai jab zāhid to phir kyā hai

    hasīnoñ ko to zinda rah ke lo hūroñ ko mar kar lo

    bahut kār-e-aham hai kāTnā āshiq gardan

    uThāo teġh phir pahle nazākat par nazar kar lo

    pahuñch kar sāmne un ke na phir āvāz niklegī

    yahāñ ai hazrat-e-dil jitnā chāho shor-o-shar kar lo

    tumhārā yaañ se jaanā 'bazm' se dekhā na jā.egā

    sahar furqat aa pahuñchī abhī se muñh udhar kar lo

    adu ki bazm mein ai 'bazm' ye shab to basar kar lo

    agar dekha nahin jata to munh apna udhar kar lo

    ewaz ulfat ke dil hai faisla baham-digar kar lo

    raza ke sath hai sauda na Dar kar do na Dar kar lo

    bigaDne ka bhala hai wasl ki sohbat mein kya mauqa

    badi ye kab thi aise mein tum apna munh udhar kar lo

    fana hona hai jab gham aur KHushi phir sab barabar hai

    jahan mein chaar din ki zist kaisi hi basar kar lo

    KHusha-shoKHi dupaTTa jab haTa sine se farmaya

    tumhein meri qasam hai munh na apna gar udhar kar lo

    jab apne gham ka qissa baiThta hun un se kahne ko

    to kahte hain lab apne KHushk kar lo chashm tar kar lo

    ishaare par tumhaare chal raha hai aalam-e-imkan

    usi jaanib ho sab ka ruKH tum apna munh jidhar kar lo

    shikayat jab kabhi jaur-o-jafa ki un se karta hun

    to saKHti se ye farmate hain patthar ka jigar kar lo

    bharosa us ki rahmat par hai jab zahid to phir kya hai

    hasinon ko to zinda rah ke lo huron ko mar kar lo

    bahut kar-e-aham hai kaTna aashiq ki gardan ka

    uThao tegh phir pahle nazakat par nazar kar lo

    pahunch kar samne un ke na phir aawaz niklegi

    yahan ai hazrat-e-dil jitna chaho shor-o-shar kar lo

    tumhaara yan se jaana 'bazm' se dekha na jaega

    sahar furqat ki aa pahunchi abhi se munh udhar kar lo

    Source:

    Ayagh-e-Bazm (Pg. 154)

    • Author: Aashiq Husain Bazm Afandi
      • Publisher: Agra Akhbar Press, Agra
      • Year of Publication: 1927
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now