Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

afsos teri yaad ne rasta nahin badla

Waqas Yusuf

afsos teri yaad ne rasta nahin badla

Waqas Yusuf

MORE BYWaqas Yusuf

    afsos tirī yaad ne rasta nahīñ badlā

    varna to mire gaañv meñ kyā kyā nahīñ badlā

    jo mom putlā thā vo pighlā nahīñ ab tak

    jo aag dariyā thā vo dariyā nahīñ badlā

    mausam tarah roz badalnā nahīñ aatā

    bachpan se isī vāste chehra nahīñ badlā

    ab tak vo mire ḳhuun pyāsā hai mirā yaar

    ab tak mire dushman vo lahja nahīñ badlā

    manzil se bichhaḌ jā.eñge manzar se nikal kar

    so ham ne yahī soch ke rasta nahīñ badlā

    jaise badalne mujhe soch rahā thā

    ab tak to mirī jaan maiñ vaisā nahīñ badlā

    afsos teri yaad ne rasta nahin badla

    warna to mere ganw mein kya kya nahin badla

    jo mom ka putla tha wo pighla nahin ab tak

    jo aag ka dariya tha wo dariya nahin badla

    mausam ki tarah roz badalna nahin aata

    bachpan se isi waste chehra nahin badla

    ab tak wo mere KHun ka pyasa hai mera yar

    ab tak mere dushman ka wo lahja nahin badla

    manzil se bichhaD jaenge manzar se nikal kar

    so hum ne yahi soch ke rasta nahin badla

    jaise tu badalne ka mujhe soch raha tha

    ab tak to meri jaan main waisa nahin badla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now