Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae

Mahirul Qadri

agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    agar fitrat har andāz bebākāna ho jaa.e

    hujūm-e-rañg-o-bū se aadmī dīvāna ho jaa.e

    karam kaisā sitam se bhī na vo begāna ho jaa.e

    maiñ Dartā huuñ mohabbat meñ kahīñ aisā na ho jaa.e

    mujhe us anjuman meñ baar kar is pe ḳhadsha hai

    mirā andāz-e-betābī na gustāḳhāna ho jaa.e

    nigāh-e-mast saaqī tilism-e-rañg-o-mastī hai

    kahīñ paimāna ban jaa.e kahīñ mai-ḳhāna ban jaa.e

    yahāñ bhī kuchh nigāheñ tishna-e-dīdār haiñ saaqī

    idhar bhī ek daur-e-nargis-e-mastāna ho jaa.e

    maiñ us mahfil tohmat kis tarah āḳhir uThā.ūñgā

    ḳhamoshī bhī jahāñ afsāna-dar-afsāna ho jaa.e

    naqāb ulTe hue ik roz agar vo ḳhud chale aa.eñ

    siyah-ḳhāna mirā 'māhir' tajallī-ḳhāna ho jaa.e

    agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae

    hujum-e-rang-o-bu se aadmi diwana ho jae

    karam kaisa sitam se bhi na wo begana ho jae

    main Darta hun mohabbat mein kahin aisa na ho jae

    mujhe us anjuman mein bar pa kar is pe KHadsha hai

    mera andaz-e-betabi na gustaKHana ho jae

    nigah-e-mast saqi ki tilism-e-rang-o-masti hai

    kahin paimana ban jae kahin mai-KHana ban jae

    yahan bhi kuchh nigahen tishna-e-didar hain saqi

    idhar bhi ek daur-e-nargis-e-mastana ho jae

    main us mahfil ki tohmat kis tarah aaKHir uThaunga

    KHamoshi bhi jahan afsana-dar-afsana ho jae

    naqab ulTe hue ek roz agar wo KHud chale aaen

    siyah-KHana mera 'mahir' tajalli-KHana ho jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now