Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar sabit-qadam ho ishq mein jiyun shama jal sakiye

Ishq Aurangabadi

agar sabit-qadam ho ishq mein jiyun shama jal sakiye

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    agar sābit-qadam ho ishq meñ jiyūñ sham.a jal sakiye

    muqābil tund-ḳhū teġh-e-abrū ke sambhal sakiye

    hamāre ashk-e-ḳhūnīñ ne hinā.ī rañg laayā hai

    are dil us ke paañv par ye āñkheñ ab to mal sakiye

    palak se jis tarah aañsū guzar jaatā hai ik pal meñ

    sirāt upar ḳhudā fazl shāmil ho to chal sakiye

    nikalnā said sayyād ke phāñde se mushkil hai

    nahīñ āsān ai dil dām-e-duniyā se nikal sakiye

    lagī jab sham.a tarah ātish ishq ke sar ko

    tasavvur shola-rū bāñdh kar jal jal pighal sakiye

    agar sabit-qadam ho ishq mein jiyun shama jal sakiye

    muqabil tund-KHu ki tegh-e-abru ke sambhal sakiye

    hamare ashk-e-KHunin ne hinai rang laya hai

    are dil us ke panw par ye aankhen ab to mal sakiye

    palak se jis tarah aansu guzar jata hai ek pal mein

    siraat upar KHuda ka fazl shamil ho to chal sakiye

    nikalna said ka sayyaad ke phande se mushkil hai

    nahin aasan ai dil dam-e-duniya se nikal sakiye

    lagi jab shama ki si tarah aatish ishq ke sar ko

    tasawwur shola-ru ka bandh kar jal jal pighal sakiye

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 96)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now