Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahd-e-KHurshid mein zarron ki haqiqat kya hai

Khalid Yusuf

ahd-e-KHurshid mein zarron ki haqiqat kya hai

Khalid Yusuf

MORE BYKhalid Yusuf

    ahd-e-ḳhurshīd meñ zarroñ haqīqat kyā hai

    gard to aap chhaT jā.egī ujlat kyā hai

    baat kiije jo ujāloñ to vo kahte haiñ

    vasl raat ujāle zarūrat kyā hai

    chand be-zor shajar chand khilā.e hue phuul

    aur gulchīñ gulistāñ pe ināyat kyā hai

    kūchā-e-zahr-e-faroshāñ meñ nikal aayā huuñ

    kūcha-e-yār meñ suqrāt qīmat kyā hai

    raakh ho jaate haiñ kitne usūloñ ke charāġh

    tab kahīñ ke ḳhabar hotī hai shohrat kyā hai

    hai mire sher meñ kuchh us shabāhat varna

    phuul kyā chiiz haiñ kaliyoñ sabāhat kyā hai

    dil qalandar ho to insān sitāroñ se buland

    afsarī jāh-o-hasham daulat-o-shohrat kyā hai

    sar vahī hai jo kisī taaj muhtāj na ho

    zulf-e-jānāñ nazar aa.e to hukūmat kyā hai

    ho jise jur.at-e-inkār mayassar 'ḳhālid'

    us ko miTTī ke khilaunoñ zarūrat kyā hai

    ahd-e-KHurshid mein zarron ki haqiqat kya hai

    gard to aap hi chhaT jaegi ujlat kya hai

    baat kije jo ujalon ki to wo kahte hain

    wasl ki raat ujale ki zarurat kya hai

    chand be-zor shajar chand khilae hue phul

    aur gulchin ki gulistan pe inayat kya hai

    kucha-e-zahr-e-faroshan mein nikal aaya hun

    kucha-e-yar mein suqraat ki qimat kya hai

    rakh ho jate hain kitne hi usulon ke charagh

    tab kahin ja ke KHabar hoti hai shohrat kya hai

    hai mere sher mein kuchh us ki shabahat warna

    phul kya chiz hain kaliyon ki sabahat kya hai

    dil qalandar ho to insan sitaron se buland

    afsari jah-o-hasham daulat-o-shohrat kya hai

    sar wahi hai jo kisi taj ka muhtaj na ho

    zulf-e-jaanan nazar aae to hukumat kya hai

    ho jise jurat-e-inkar mayassar 'KHalid'

    us ko miTTi ke khilaunon ki zarurat kya hai

    Source:

    Zakhm-e-Safer (Pg. 65)

    • Author: Khalid Yusuf
      • Edition: 1997
      • Publisher: Ahbab Publishers
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now