Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai but jafa se apni liya kar wafa ka kaam

Shad Azimabadi

ai but jafa se apni liya kar wafa ka kaam

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    ai but jafā se apnī liyā kar vafā kaam

    bandoñ ke kaam aa ki yahī hai ḳhudā kaam

    kis thā qasd shauq ne pahuñchā diyā kidhar

    kahte na the Thagoñ se na le rahnumā kaam

    kahtā hai dil sunā mujhe gesū dāstāñ

    aaj us ne sar pe Daal diyā hai balā kaam

    tāsīr ko na aah se pūchhūñ to kyā karūñ

    kyuuñ ḳhud uThā liyā dil-e-be-mudda.ā kaam

    apnī to kar unheñ phir iḳhtiyār hai

    sunñā hai un kaam pahuñchnā duā kaam

    siine meñ daaġh khilte jaate haiñ har nafas

    ab apnī saañs kartī hai bād-e-sabā kaam

    muusā faqat na the tire ā.īna-dāroñ meñ

    iisā bhī karte the lab-e-mojiz-numā kaam

    har raat apnī āñkhoñ ko ronā hai farz-e-ain

    tā.at-guzār karte haiñ jaise ḳhudā kaam

    thā bhī zalīl husn sarkār meñ ye dil

    kam-baḳht ko supurd huā iltijā kaam

    ai 'shād' merī saḳht-zabānī pe hai ḳhamosh

    nāseh bhī ab to karne lagā ambiyā kaam

    ai but jafa se apni liya kar wafa ka kaam

    bandon ke kaam aa ki yahi hai KHuda ka kaam

    kis ja tha qasd shauq ne pahuncha diya kidhar

    kahte na the Thagon se na le rahnuma ka kaam

    kahta hai dil suna mujhe gesu ki dastan

    aaj us ne sar pe Dal diya hai bala ka kaam

    tasir ko na aah se puchhun to kya karun

    kyun KHud uTha liya dil-e-be-muddaa ka kaam

    apni si tu to kar unhen phir iKHtiyar hai

    sunna hai un ka kaam pahunchna dua ka kaam

    sine mein dagh khilte hi jate hain har nafas

    ab apni sans karti hai baad-e-saba ka kaam

    musa faqat na the tere aaina-daron mein

    isa bhi karte the lab-e-mojiz-numa ka kaam

    har raat apni aankhon ko rona hai farz-e-ain

    taat-guzar karte hain jaise KHuda ka kaam

    tha bhi zalil husn ki sarkar mein ye dil

    kam-baKHt ko supurd hua iltija ka kaam

    ai 'shad' meri saKHt-zabani pe hai KHamosh

    naseh bhi ab to karne laga ambiya ka kaam

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    ai but jafa se apni liya kar wafa ka kaam Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now