Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil-e-nadan mataa-e-kam-nigahi par na ja

Jagan Nath Azad

ai dil-e-nadan mataa-e-kam-nigahi par na ja

Jagan Nath Azad

MORE BYJagan Nath Azad

    ai dil-e-nādāñ matā.a-e-kam-nigāhī par na

    aur bhī kuchh dekh jismoñ adā par na

    dil meñ jo poshīda hai vo hasrat-e-tā'mīr dekh

    dekhne vaale mire dil tabāhī par na

    ye to hai merī tabī'at ye to hai merā mizāj

    maiñ tirā banda huuñ merī kaj-kulāhī par na

    merī niyyat ko parakh mere ‘amal ko na dekh

    mere dāman par hai jo us siyāhī par na

    huuñ sarāpā jurm chehre par jo aatī hai nazar

    dāvar-e-mahshar mirī is be-gunāhī par na

    kal isī zulmat se phūTeñgī kirneñ nuur

    ye jo baḌhtī aa rahī hai is siyāhī par na

    chaar din khel hai ālam-panāhī ye khel

    chashm-e-bīnā satvat-e-ālam-panāhī par na

    ai dil-e-nadan mataa-e-kam-nigahi par na ja

    aur bhi kuchh dekh jismon ki ada hi par na ja

    dil mein jo poshida hai wo hasrat-e-ta'mir dekh

    dekhne wale mere dil ki tabahi par na ja

    ye to hai meri tabi'at ye to hai mera mizaj

    main tera banda hun meri kaj-kulahi par na ja

    meri niyyat ko parakh mere ‘amal ko tu na dekh

    mere daman par hai jo tu us siyahi par na ja

    hun sarapa jurm chehre par jo aati hai nazar

    dawar-e-mahshar meri is be-gunahi par na ja

    kal isi zulmat se hi phuTengi kirnen nur ki

    ye jo baDhti aa rahi hai is siyahi par na ja

    chaar din ka khel hai aalam-panahi ka ye khel

    chashm-e-bina satwat-e-alam-panahi par na ja

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 31)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now