Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai meri jaan hamesha ho teri jaan ki KHair

Nazeer Akbarabadi

ai meri jaan hamesha ho teri jaan ki KHair

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    ai mirī jaan hamesha ho tirī jaan ḳhair

    nāzukī daur-e-balā, husn ke sāmān ḳhair

    raat din shaam sahar pahar ghaḌī pal saa.at

    māñgte jaatī hai ham ko tirī aan aan ḳhair

    mehñdī choTī ho sivā.ī ho chamak peTī

    umr choTī baḌī zulf-e-pareshān ḳhair

    be-tarah bojh se jhumkoñ ke jhuke paḌte haiñ

    kiijo allāh un jhumkoñ aur kaan ḳhair

    paan khāyā hai to is vaqt bhī lāzim hai yahī

    ek bosa hameñ diije lab-o-dandān ḳhair

    aañkh uThā dekhiye aur dekh ke hañs bhī diije

    apne kājal zakāt aur misī-o-pān ḳhair

    pahle jis aan tumhārī ne liyā dil ham se

    ab talak māñgte haiñ dil se ham us aan ḳhair

    kyā ġhazab nikle hai ban-Than ke vo kāfir yaaro

    aaj hotī nazar aatī nahīñ īmān ḳhair

    jitne mahbūb parī-zād haiñ duniyā meñ 'nazīr'

    sab ke allāh kare husn aur jaan ḳhair

    ai meri jaan hamesha ho teri jaan ki KHair

    nazuki daur-e-bala, husn ke saman ki KHair

    raat din sham sahar pahar ghaDi pal saat

    mangte jati hai hum ko teri aan aan ki KHair

    mehndi choTi ho siwai ho chamak peTi ki

    umr choTi ki baDi zulf-e-pareshan ki KHair

    be-tarah bojh se jhumkon ke jhuke paDte hain

    kijo allah tu un jhumkon ki aur kan ki KHair

    pan khaya hai to is waqt bhi lazim hai yahi

    ek bosa hamein dije lab-o-dandan ki KHair

    aankh uTha dekhiye aur dekh ke hans bhi dije

    apne kajal ki zakat aur misi-o-pan ki KHair

    pahle jis aan tumhaari ne liya dil hum se

    ab talak mangte hain dil se hum us aan ki KHair

    kya ghazab nikle hai ban-Than ke wo kafir yaro

    aaj hoti nazar aati nahin iman ki KHair

    jitne mahbub pari-zad hain duniya mein 'nazir'

    sab ke allah kare husn ki aur jaan ki KHair

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 874)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now