Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai sanam mujhko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa

Shah Akbar Danapuri

ai sanam mujhko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ai sanam mujh ko kisī se bhī sarokār nahīñ ba-ḳhudā tere sivā

    dīn-o-īmāñ se bhī matlab mujhe zinhār nahīñ maiñ to banda huuñ tirā

    raas aa.ī na use baaġh bhī āb-o-havā āriza kuchh na ghaTā

    achchhī hone bas ab nargis-e-bīmār nahīñ us hāfiz hai ḳhudā

    ye vahī dil hai ki māshūqoñ thā madd-e-nazar thā hujūm aaTh pahar

    ab vahī dil hai ki koī bhī ḳharīdār nahīñ aisā bāzār girā

    nabz sāqit huī āñkheñ bhī haiñ chhat se lagīñ hai dam-e-bāz-pasīñ

    zindagī ke mire ab koī bhī āsār nahīñ yuuñ to qādir hai ḳhudā

    kaisā kaisā tirī furqat meñ huā haal mirā ne pūchhā na zarā

    tujh be-rahm koī ai but-e-ayyār nahīñ aur agar hai to batā

    apne begāne hue dost bane dushman-e-jāñ ḳhuuñ pyāsā hai jahāñ

    ai sanam mirī shakl se bezār nahīñ ek aalam hai ḳhafā

    'akbar'-e-ḳhasta se kah do ki vo tayyār rahe ham kamar bāñdh chuke

    ab yahāñ rahne mauqa koī zinhār nahīñ qāfila aage baḌhā

    ai sanam mujh ko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa

    din-o-iman se bhi matlab mujhe zinhaar nahin main to banda hun tera

    ras aai na use bagh ki bhi aab-o-hawa aariza kuchh na ghaTa

    achchhi hone ki bas ab nargis-e-bimar nahin us ka hafiz hai KHuda

    ye wahi dil hai ki mashuqon ka tha madd-e-nazar tha hujum aaTh pahar

    ab wahi dil hai ki koi bhi KHaridar nahin aisa bazar gira

    nabz saqit hi hui aankhen bhi hain chhat se lagin hai dam-e-baz-pasin

    zindagi ke mere ab koi bhi aasar nahin yun to qadir hai KHuda

    kaisa kaisa teri furqat mein hua haal mera tu ne puchha na zara

    tujh sa be-rahm koi ai but-e-ayyar nahin aur agar hai to bata

    apne begane hue dost bane dushman-e-jaan KHun ka pyasa hai jahan

    ai sanam tu hi meri shakl se bezar nahin ek aalam hai KHafa

    'akbar'-e-KHasta se kah do ki wo tayyar rahe hum kamar bandh chuke

    ab yahan rahne ka mauqa koi zinhaar nahin qafila aage baDha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now