aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar

Adeem Hashmi

aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    aisā bhī nahīñ us se milā de koī aa kar

    kaisā hai vo itnā to batā de koī aa kar

    ye bhī to kisī maañ dulārā koī hogā

    is qabr pe bhī phuul chaḌhā de koī aa kar

    sūkhī haiñ baḌī der se palkoñ zabāneñ

    bas aaj to bhar ke rulā de koī aa kar

    barsoñ duā phir na kahīñ ḳhaak meñ mil jaa.e

    ye abr bhī āñdhī na uḌā de koī aa kar

    ye koh ye sabza ye machaltī huī nadiyāñ

    mar jā.ūñ jo manzil patā de koī aa kar

    har ghar pe hai āvāz har ik dar pe hai dastak

    baiThā huuñ ki mujh ko bhī sadā de koī aa kar

    is ḳhvāhish-e-nākām ḳhuuñ bhī mire sar hai

    zinda huuñ ki is bhī sazā de koī aa kar

    aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar

    kaisa hai wo itna to bata de koi aa kar

    ye bhi to kisi man ka dulara koi hoga

    is qabr pe bhi phul chaDha de koi aa kar

    sukhi hain baDi der se palkon ki zabanen

    bas aaj to ji bhar ke rula de koi aa kar

    barson ki dua phir na kahin KHak mein mil jae

    ye abr bhi aandhi na uDa de koi aa kar

    ye koh ye sabza ye machalti hui nadiyan

    mar jaun jo manzil ka pata de koi aa kar

    har ghar pe hai aawaz har ek dar pe hai dastak

    baiTha hun ki mujh ko bhi sada de koi aa kar

    is KHwahish-e-nakaam ka KHun bhi mere sar hai

    zinda hun ki is ki bhi saza de koi aa kar

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 1051)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now