aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise

Ahmad Faraz

aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    aise chup haiñ ki ye manzil bhī kaḌī ho jaise

    terā milnā bhī judā.ī ghaḌī ho jaise

    apne saa.e se har gaam laraz jaatā huuñ

    rāste meñ koī dīvār khaḌī ho jaise

    kitne nādāñ haiñ tire bhūlne vaale ki tujhe

    yaad karne ke liye umr paḌī ho jaise

    tere māthe shikan pahle bhī dekhī thī magar

    ye girah ab ke mire dil meñ paḌī ho jaise

    manzileñ duur bhī haiñ manzileñ nazdīk bhī haiñ

    apne paañv meñ zanjīr paḌī ho jaise

    aaj dil khol ke ro.e haiñ to yuuñ ḳhush haiñ 'farāz'

    chand lamhoñ ye rāhat bhī baḌī ho jaise

    aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise

    tera milna bhi judai ki ghaDi ho jaise

    apne hi sae se har gam laraz jata hun

    raste mein koi diwar khaDi ho jaise

    kitne nadan hain tere bhulne wale ki tujhe

    yaad karne ke liye umr paDi ho jaise

    tere mathe ki shikan pahle bhi dekhi thi magar

    ye girah ab ke mere dil mein paDi ho jaise

    manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain

    apne hi panw mein zanjir paDi ho jaise

    aaj dil khol ke roe hain to yun KHush hain 'faraaz'

    chand lamhon ki ye rahat bhi baDi ho jaise

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Runa Laila

    Runa Laila

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now