Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aise dekha hai ki dekha hi na ho

Anwar Shuoor

aise dekha hai ki dekha hi na ho

Anwar Shuoor

MORE BYAnwar Shuoor

    aise dekhā hai ki dekhā na ho

    jaise mujh ko tirī parvā na ho

    ba.az ghar shahr meñ aise dekhe

    jaise un meñ koī rahtā na ho

    mujh se katrā ke bhalā kyuuñ jaatā

    shāyad us ne mujhe dekhā na ho

    ye samajhtā hai har aane vaalā

    maiñ na aa.uuñ to tamāshā na ho

    yuuñ bhaTakne pe huuñ qaane jaise

    rāstoñ meñ koī dariyā na ho

    raat har chaap pe aatā thā ḳhayāl

    uTh ke dekhūñ koī aayā na ho

    kaise chhoḌūñ dar-o-dīvār apne

    kyā ḳhabar lauT ke aanā na ho

    haiñ sabhī ġhair to apnā maskan

    shahr kyuuñ ho koī sahrā na ho

    yuuñ to kahne ko bahut kuchh hai 'shu.ūr'

    kyā kahūñ jab koī suntā na ho

    aise dekha hai ki dekha hi na ho

    jaise mujh ko teri parwa hi na ho

    baz ghar shahr mein aise dekhe

    jaise un mein koi rahta hi na ho

    mujh se katra ke bhala kyun jata

    shayad us ne mujhe dekha hi na ho

    ye samajhta hai har aane wala

    main na aaun to tamasha hi na ho

    yun bhaTakne pe hun qane jaise

    raston mein koi dariya hi na ho

    raat har chap pe aata tha KHayal

    uTh ke dekhun koi aaya hi na ho

    kaise chhoDun dar-o-diwar apne

    kya KHabar lauT ke aana hi na ho

    hain sabhi ghair to apna maskan

    shahr kyun ho koi sahra hi na ho

    yun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur'

    kya kahun jab koi sunta hi na ho

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 807)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now