ajab manzar bara-e-guftugu rakkha hua tha
'ajab manzar barā-e-guftugū rakkhā huā thā
charāġh ik aa.ine ke rū-barū rakkhā huā thā
zamurrad shāḳhchoñ yāqūtī phūloñ ne musalsal
parindoñ ko asīr-e-rang-o-bū rakkhā huā thā
darīche meñ udhar do nīm-bāz āñkheñ jaḌī thiiñ
galī ne āhaToñ ko narm ḳhud rakkhā huā thā
munaqqash tasht meñ lamhoñ ke sar laa.e ga.e the
piyāle meñ zamānoñ kā lahū rakkhā huā thā
udhar jab lashkarī apnī kamāneñ khīñchte the
idhar hāthoñ meñ ik tishna gulū rakkhā huā thā
sitāre jis jagah paanī ke uupar bah rahe the
burīda sar kanār-e-ābjū rakkhā huā thā
ThiThurtī raakh meñ sayyārgāñ behis paḌe the
barābar meñ jahān-e-hāo-hū rakkhā huā thā
na.e din kā varaq ḳhākistarī kartī rutoñ ko
kitāb-e-roz-o-shab ne surḳh-rū rakkhā huā thā
'ajab manzar bara-e-guftugu rakkha hua tha
charagh ek aaine ke ru-baru rakkha hua tha
zamurrad shaKHchon yaquti phulon ne musalsal
parindon ko asir-e-rang-o-bu rakkha hua tha
dariche mein udhar do nim-baz aankhen jaDi thin
gali ne aahaTon ko narm KHud rakkha hua tha
munaqqash tasht mein lamhon ke sar lae gae the
piyale mein zamanon ka lahu rakkha hua tha
udhar jab lashkari apni kamanen khinchte the
idhar hathon mein ek tishna gulu rakkha hua tha
sitare jis jagah pani ke upar bah rahe the
burida sar kanar-e-abju rakkha hua tha
ThiThurti rakh mein sayyargan behis paDe the
barabar mein jahan-e-hao-hu rakkha hua tha
nae din ka waraq KHakistari karti ruton ko
kitab-e-roz-o-shab ne surKH-ru rakkha hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.