Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab sada ye numaish mein kal sunai di

Iqbal Sajid

ajab sada ye numaish mein kal sunai di

Iqbal Sajid

MORE BYIqbal Sajid

    ajab sadā ye numā.ish meñ kal sunā.ī

    kisī ne sañg se tasvīr ko rihā.ī

    sunahre harf bhī miTTī ke bhaav bech diye

    tujhe to maiñ ne na.e zehn kamā.ī

    bachā sakī na mujhe bhiiḌ chup ke qātil se

    hazār shor machāyā bahut duhā.ī

    vo shaḳhs mar ke bhī apnī jagah se hil na sakā

    ki ik zamāne ne jumbish to intihā.ī

    kabhī vo TuuT ke bikhrā kabhī vo jam.a huā

    ḳhudā ne us ko ajab mo.ajiza-numā.ī

    ajab sada ye numaish mein kal sunai di

    kisi ne sang se taswir ko rihai di

    sunahre harf bhi miTTi ke bhaw bech diye

    tujhe to main ne nae zehn ki kamai di

    bacha saki na mujhe bhiD chup ke qatil se

    hazar shor machaya bahut duhai di

    wo shaKHs mar ke bhi apni jagah se hil na saka

    ki ek zamane ne jumbish to intihai di

    kabhi wo TuT ke bikhra kabhi wo jama hua

    KHuda ne us ko ajab moajiza-numai di

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 170)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now