aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak

Saba Akbarabadi

ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak

Saba Akbarabadi

MORE BYSaba Akbarabadi

    ajal hotī rahegī ishq kar ke multavī kab tak

    muqaddar meñ hai rab ārzū-e-ḳhud-kushī kab tak

    taḌapne par hamāre aap rokeñge hañsī kab tak

    ye māthe shikan kab tak ye abrū kajī kab tak

    kiran phūTī ufuq par āftāb-e-sub.h-e-mahshar

    sunā.e jaao apnī dāstān-e-zindagī kab tak

    dayār-e-ishq meñ ik qalb-e-sozāñ chhoḌ aa.e the

    jalā.ī thī jo ham ne sham.a raste meñ jalī kab tak

    jo tum parda uThā dete to āñkheñ band ho jātīñ

    tajallī sāmne aatī to duniyā dekhtī kab tak

    tah-e-girdāb bhī fikr kar ai Dūbne vaale

    nazar aatī rahegī sāhiloñ raushnī kab tak

    kabhī to zindagī ḳhud bhī ilāj-e-zindagī kartī

    ajal kartī rahe darmān-e-dard-e-zindagī kab tak

    vo din nazdīk haiñ jab aadmī shaitāñ se khelegā

    khilaunā ban ke shaitāñ rahegā aadmī kab tak

    kabhī to ye fasād-e-zehn dīvār TūTegī

    are āḳhir ye farq-e-ḳhvājgī-o-bandagī kab tak

    dayār-e-ishq meñ pahchānñe vaale nahīñ milte

    ilāhī maiñ rahūñ apne vatan meñ ajnabī kab tak

    muḳhātab kar ke apne dil ko kahnā ho to kuchh kahiye

    'sabā' us bevafā ke āsare par shā.irī kab tak

    ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak

    muqaddar mein hai ya rab aarzu-e-KHud-kushi kab tak

    taDapne par hamare aap rokenge hansi kab tak

    ye mathe ki shikan kab tak ye abru ki kaji kab tak

    kiran phuTi ufuq par aaftab-e-subh-e-mahshar ki

    sunae jao apni dastan-e-zindagi kab tak

    dayar-e-ishq mein ek qalb-e-sozan chhoD aae the

    jalai thi jo hum ne shama raste mein jali kab tak

    jo tum parda uTha dete to aankhen band ho jatin

    tajalli samne aati to duniya dekhti kab tak

    tah-e-girdab ki bhi fikr kar ai Dubne wale

    nazar aati rahegi sahilon ki raushni kab tak

    kabhi to zindagi KHud bhi ilaj-e-zindagi karti

    ajal karti rahe darman-e-dard-e-zindagi kab tak

    wo din nazdik hain jab aadmi shaitan se khelega

    khilauna ban ke shaitan ka rahega aadmi kab tak

    kabhi to ye fasad-e-zehn ki diwar TuTegi

    are aaKHir ye farq-e-KHwajgi-o-bandagi kab tak

    dayar-e-ishq mein pahchanne wale nahin milte

    ilahi main rahun apne watan mein ajnabi kab tak

    muKHatab kar ke apne dil ko kahna ho to kuchh kahiye

    'saba' us bewafa ke aasare par shairi kab tak

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 221)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition: 39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication: 39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now