Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh hote hue tirgi qubul ki hai

Shakeel Azmi

charagh hote hue tirgi qubul ki hai

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    charāġh hote hue tīrgī qubūl hai

    tamām 'umr tā'zīr ek bhuul hai

    ḳhayāl aayā hai ab rāsta badal leñge

    abhī talak to bahut zindagī fuzūl hai

    ḳhudā kare ki ye paudā zamīñ ho jaa.e

    ki aarzū mire āñgan ko ek phuul hai

    na jaane kaun lamha mire qarār hai

    na jaane kaun sā'at tire husūl hai

    na jaane kaun chehra mirī kitāb hai

    na jaane kaun sūrat tire nuzūl hai

    jinheñ ḳhayāl ho āñkhoñ lauT jaa.eñ vo

    ab is ke baa'd hukūmat safar meñ dhuul hai

    ye shohrateñ hameñ yūñhī nahīñ milī haiñ 'shakīl'

    ġhazal ne ham se bhī qīmat bahut vasūl hai

    charagh hote hue tirgi qubul ki hai

    tamam 'umr ki ta'zir ek bhul ki hai

    KHayal aaya hai ab rasta badal lenge

    abhi talak to bahut zindagi fuzul ki hai

    KHuda kare ki ye pauda zamin ka ho jae

    ki aarzu mere aangan ko ek phul ki hai

    na jaane kaun sa lamha mere qarar ka hai

    na jaane kaun si sa'at tere husul ki hai

    na jaane kaun sa chehra meri kitab ka hai

    na jaane kaun si surat tere nuzul ki hai

    jinhen KHayal ho aankhon ka lauT jaen wo

    ab is ke ba'd hukumat safar mein dhul ki hai

    ye shohraten hamein yunhi nahin mili hain 'shakil'

    ghazal ne hum se bhi qimat bahut wasul ki hai

    Source:

    Dhoop Dariya (Pg. 60)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Edition: 2016
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now