Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein

Arif Ansari

alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein

Arif Ansari

MORE BYArif Ansari

    alfāz ke patthar kyā pheñke ga.e paanī meñ

    tūfān barpā hai dariyā-e-ma.ānī meñ

    ḳhushiyoñ ke fasāne dohrā.e nahīñ jaate

    haiñ rañj ke chhīñTe bhī ghar ghar kahānī meñ

    jaadū ġhazab thā aks-e-ruḳh-e-zebā

    kyuuñ aag na lag jaatī bahte hue paanī meñ

    donoñ qabīloñ ne paimān-e-vafā bāñdhe

    lauT aa.ī vafā phir se har dushman-e-jānī meñ

    tarsīl tamaddun hotī bhī to phir kaise

    aḳhlāq na hotā gar tahzīb ke baanī meñ

    misre pe tire 'ārif' misra.a jo huā chaspāñ

    ḳhushbū utar aa.ī har ūlā-o-sānī meñ

    alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein

    tufan sa barpa hai dariya-e-maani mein

    KHushiyon ke fasane hi dohrae nahin jate

    hain ranj ke chhinTe bhi ghar ghar ki kahani mein

    jadu hi ghazab ka tha aks-e-ruKH-e-zeba ka

    kyun aag na lag jati bahte hue pani mein

    donon hi qabilon ne paiman-e-wafa bandhe

    lauT aai wafa phir se har dushman-e-jaani mein

    tarsil tamaddun ki hoti bhi to phir kaise

    aKHlaq na hota gar tahzib ke bani mein

    misre pe tere 'arif' misra jo hua chaspan

    KHushbu si utar aai har ula-o-sani mein

    Source:

    Khushboo Ke Ta'aqub me.n (Pg. 103)

    • Author: Dr. Arif Ansari
      • Edition: 2015
      • Publisher: Faazli Urdu Society,Burhanpur
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now