Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna bimar hai dil ishq ka bimar nahin

Nashtar Khaanqahi

apna bimar hai dil ishq ka bimar nahin

Nashtar Khaanqahi

MORE BYNashtar Khaanqahi

    apnā bīmār hai dil ishq bīmār nahīñ

    ḳhud tashaffī ke sivā hijr āzār nahīñ

    tīrgī aisī ġhazab ki ayāzan-billāh

    aisā lagtā hai ki ghar hai dar-o-dīvār nahīñ

    hashr ke ba.ad bhī vīrāñ rahegī jannat

    kaun haqdār hai koī bhī to haqdār nahīñ

    tah maiñ kuchh aur haiñ uupar se haiñ ḳhabreñ kuchh aur

    bā-ḳhabar tum bhī nahīñ maiñ bhī ḳhabar-dār nahīñ

    jis chaukhaT pe bhī ruktā huuñ yahī lagtā hai

    ye dar-e-yār nahīñ ye bhī dar-e-yār nahīñ

    nekiyoñ ke liye māhaul muāfiq bhī to ho

    kaun kahtā hai ki merā koī kirdār nahīñ

    apna bimar hai dil ishq ka bimar nahin

    KHud tashaffi ke siwa hijr ka aazar nahin

    tirgi aisi ghazab ki ki ayazan-billah

    aisa lagta hai ki ghar hai dar-o-diwar nahin

    hashr ke baad bhi viran hi rahegi jannat

    kaun haqdar hai koi bhi to haqdar nahin

    tah main kuchh aur hain upar se hain KHabren kuchh aur

    ba-KHabar tum bhi nahin main bhi KHabar-dar nahin

    jis ki chaukhaT pe bhi rukta hun yahi lagta hai

    ye dar-e-yar nahin ye bhi dar-e-yar nahin

    nekiyon ke liye mahaul muafiq bhi to ho

    kaun kahta hai ki mera koi kirdar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now