Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne hathon se saja aur mujhe sandal kar de

Saba Azeez

apne hathon se saja aur mujhe sandal kar de

Saba Azeez

MORE BYSaba Azeez

    apne hāthoñ se sajā aur mujhe sandal kar de

    dil bastī meñ ajab pyaar halchal kar de

    terī yādoñ ye sho.ala bhī ajab hai jānāñ

    dil ke shādāb gulistāñ ko bhī jañgal kar de

    jazba-e-ishq agar dil meñ hai is tarah se mil

    ki uḌā hosh mire aur mujhe pāgal kar de

    aa aur aa ke khilā apnī mohabbat ke gulāb

    maiñ adhūrī huuñ abhī mujh ko mukammal kar de

    ham-safar hai agar merā to ye dhyān bhī rakh

    vādī-e-ishq har raah ko jal-thal kar de

    bevafā.ī sazā tujh ko de maulā aisī

    mujh ko bā-hosh rakhe aur tujhe pāgal kar de

    har musībat se 'sabā' hañs ke guzar jā.ūñgī

    mere sar pe vo agar pyaar bādal kar de

    apne hathon se saja aur mujhe sandal kar de

    dil ki basti mein ajab pyar ki halchal kar de

    teri yaadon ka ye shoala bhi ajab hai jaanan

    dil ke shadab gulistan ko bhi jangal kar de

    jazba-e-ishq agar dil mein hai is tarah se mil

    ki uDa hosh mere aur mujhe pagal kar de

    aa ja aur aa ke khila apni mohabbat ke gulab

    main adhuri hun abhi mujh ko mukammal kar de

    ham-safar tu hai agar mera to ye dhyan bhi rakh

    wadi-e-ishq ki har rah ko jal-thal kar de

    bewafai ki saza tujh ko de maula aisi

    mujh ko ba-hosh rakhe aur tujhe pagal kar de

    har musibat se 'saba' hans ke guzar jaungi

    mere sar pe wo agar pyar ka baadal kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now