Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne ka hai gunah begane ne kya kiya

Sauda Mohammad Rafi

apne ka hai gunah begane ne kya kiya

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

    apne hai gunāh begāne ne kyā kiyā

    is dil ko kyā kahūñ ki divāne ne kyā kiyā

    yaañ tak satānā muj ko ki ro ro kahe haa.e

    yaaro na tum sunā ki fulāne ne kyā kiyā

    parda to rāz-e-ishq se ai yaar uTh chukā

    be-sūd ham se muñh ke chhupāne ne kyā kiyā

    āñkhoñ rahbarī ne kahūñ kyā ki dil ke saath

    kūche us ke raah batāne ne kyā kiyā

    kaam aa.ī kohkan mashaqqat na ishq meñ

    patthar se jū-e-shīr ke laane ne kyā kiyā

    Tuk dar tak apne aa mire nāseh haal dekh

    maiñ to divānā thā pe siyāne ne kyā kiyā

    chāhūñ maiñ kis tarah ye zamāne dostī

    auroñ se dost ho ke zamāne ne kyā kiyā

    kahtā thā maiñ gale tire ho paḌūñgā haar

    dekhā na gul ko sar pe chaḌhāne ne kyā kiyā

    'saudā' hai be-tarah nasha jām-e-ishq meñ

    dekhā ki us ko muñh ke lagāne ne kyā kiyā

    apne ka hai gunah begane ne kya kiya

    is dil ko kya kahun ki diwane ne kya kiya

    yan tak satana muj ko ki ro ro kahe tu hae

    yaro na tum suna ki fulane ne kya kiya

    parda to raaz-e-ishq se ai yar uTh chuka

    be-sud hum se munh ke chhupane ne kya kiya

    aankhon ki rahbari ne kahun kya ki dil ke sath

    kuche ki us ke rah batane ne kya kiya

    kaam aai kohkan ki mashaqqat na ishq mein

    patthar se ju-e-shir ke lane ne kya kiya

    Tuk dar tak apne aa mere naseh ka haal dekh

    main to diwana tha pe siyane ne kya kiya

    chahun main kis tarah ye zamane ki dosti

    auron se dost ho ke zamane ne kya kiya

    kahta tha main gale ka tere ho paDunga haar

    dekha na gul ko sar pe chaDhane ne kya kiya

    'sauda' hai be-tarah ka nasha jam-e-ishq mein

    dekha ki us ko munh ke lagane ne kya kiya

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    apne ka hai gunah begane ne kya kiya Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now