Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne siwa nahin hai kisi ma-siwa ka rang

Liyaqat Ali Aasim

apne siwa nahin hai kisi ma-siwa ka rang

Liyaqat Ali Aasim

MORE BYLiyaqat Ali Aasim

    apne sivā nahīñ hai kisī mā-sivā rang

    dekhā hai ham ne aag jalā kar havā rang

    har gosha-e-bisāt-e-chaman hai lahū lahū

    dhūmeñ machā rahā hai kisī anā rang

    aa.ī jab apne shahr tasvīr sāmne

    āñkhoñ ke aage phail gayā karbalā rang

    jamtī nahīñ nigāh kisī tez chashm

    pahnā hai qātiloñ ne bhī kaisā balā rang

    yak-rangī-e-hayāt se ghabrā na jaa.eñ kyoñ

    jo aaj ġhair hai vahī āshnā rang

    parvāz hai fikr ki ġham bāl-o-par hai

    'āsim' uḌā uḌā hai ḳhalq-e-ḳhudā rang

    apne siwa nahin hai kisi ma-siwa ka rang

    dekha hai hum ne aag jala kar hawa ka rang

    har gosha-e-bisat-e-chaman hai lahu lahu

    dhumen macha raha hai kisi ki ana ka rang

    aai jab apne shahr ki taswir samne

    aankhon ke aage phail gaya karbala ka rang

    jamti nahin nigah kisi tez chashm ki

    pahna hai qatilon ne bhi kaisa bala ka rang

    yak-rangi-e-hayat se ghabra na jaen kyon

    jo aaj ghair ka hai wahi aashna ka rang

    parwaz ki hai fikr ki gham baal-o-par ka hai

    'asim' uDa uDa sa hai KHalq-e-KHuda ka rang

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now