apni sab umr laga KHud ko kamate hue hum
apnī sab 'umr lagā ḳhud ko kamāte hue ham
aur lamhoñ meñ kamā.ī ko gañvāte hue ham
ḳhvāb thā apnā ki sab ham ko mayassar ho jaa.e
ab isī ranj meñ haiñ aañkh churāte hue ham
ik 'ajab niiñd ke 'ālam meñ guzartī huī 'umr
ḳhud ko āvāz pe āvāz lagāte hue ham
rokne se bhī to ruktā nahīñ dariyā-e-hayāt
so isī dhāre meñ ab ḳhud ko bahāte hue ham
ādmiyyat se bahut duur nikal aa.e haiñ
zindagī terī rivāyāt nibhāte hue ham
qabr aur shahr meñ kuchh farq nahīñ hai 'sānī'
bas yahī roz kahīñ sub.h ko jaate hue ham
apni sab 'umr laga KHud ko kamate hue hum
aur lamhon mein kamai ko ganwate hue hum
KHwab tha apna ki sab hum ko mayassar ho jae
ab isi ranj mein hain aankh churaate hue hum
ek 'ajab nind ke 'alam mein guzarti hui 'umr
KHud ko aawaz pe aawaz lagate hue hum
rokne se bhi to rukta nahin dariya-e-hayat
so isi dhaare mein ab KHud ko bahate hue hum
aadmiyyat se bahut dur nikal aae hain
zindagi teri riwayat nibhate hue hum
qabr aur shahr mein kuchh farq nahin hai 'sani'
bas yahi roz kahin subh ko jate hue hum
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 105)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.