aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni to taqdir mein shab-bhar KHak uDana hoga hi

Kumar Pashi

apni to taqdir mein shab-bhar KHak uDana hoga hi

Kumar Pashi

MORE BYKumar Pashi

    apnī to taqdīr meñ shab-bhar ḳhaak uḌānā hogā

    yaar to saare bichhaḌ chale haiñ un Thikānā hogā

    din chaḌh aayā kyoñ nahīñ aa.e jaa.eñ un se pūchh aa.eñ

    lekin un ke paas to ai dil koī bahāna hogā

    aao chaleñ un mahfil meñ aur apnī sudh-budh kho deñ

    aaj bhī yaaro un āñkhoñ meñ koī fasāna hogā

    sub.h ko shab kah dete haiñ ham sach ko jhuuT batāte haiñ

    ham jaise sar-phiroñ se to nārāz zamāna hogā

    ai rangūn meñ chaltī havā merā sandesa letī

    terā to un galiyoñ meñ ānā-jānā hogā

    aaj milā thā 'pāshī' se maiñ vo bhī hai shādāb bahut

    mirī tarah us ke dil meñ bhī ġham ḳhazāna hogā

    apni to taqdir mein shab-bhar KHak uDana hoga hi

    yar to sare bichhaD chale hain un ka Thikana hoga hi

    din chaDh aaya kyon nahin aae jaen un se puchh aaen

    lekin un ke pas to ai dil koi bahana hoga hi

    aao chalen un ki mahfil mein aur apni sudh-budh kho den

    aaj bhi yaro un aankhon mein koi fasana hoga hi

    subh ko shab kah dete hain hum sach ko jhuT batate hain

    hum jaise sar-phiron se to naraaz zamana hoga hi

    ai rangun mein chalti hawa mera sandesa leti ja

    tera to un ki galiyon mein aana-jaana hoga hi

    aaj mila tha 'pashi' se main wo bhi hai shadab bahut

    meri tarah us ke dil mein bhi gham ka KHazana hoga hi

    Source:

    (Pg. 76)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now