aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk girne ki sada aai hai

Zulfiqar Aadil

ashk girne ki sada aai hai

Zulfiqar Aadil

MORE BYZulfiqar Aadil

    ashk girne sadā aa.ī hai

    bas yahī rāhat-e-goyā.ī hai

    sat.h par tiir rahe haiñ din raat

    niiñd ik ḳhvāb gahrā.ī hai

    in parindoñ palaT kar aanā

    ik taḳhayyul pazīrā.ī hai

    aks bhī ġhair hai ā.īna bhī

    ye tahayyur hai ki tanhā.ī hai

    un darīchoñ se ki jo the nahīñ

    ik udāsī hai ki dar aa.ī hai

    dil numūdār huā hai dil meñ

    aañkh ik aañkh se bhar aa.ī hai

    us ā.ankhoñ ḳhamoshī 'ādil'

    Dūbte vaqt goyā.ī hai

    ashk girne ki sada aai hai

    bas yahi rahat-e-goyai hai

    sath par tir rahe hain din raat

    nind ek KHwab ki gahrai hai

    in parindon ka palaT kar aana

    ek taKHayyul ki pazirai hai

    aks bhi ghair hai aaina bhi

    ye tahayyur hai ki tanhai hai

    un darichon se ki jo the hi nahin

    ek udasi hai ki dar aai hai

    dil numudar hua hai dil mein

    aankh ek aankh se bhar aai hai

    us ki aaankhon ki KHamoshi 'adil'

    Dubte waqt ki goyai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now