aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk mizhgan-e-tar ki punji hai

Insha Allah Khan Insha

ashk mizhgan-e-tar ki punji hai

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    ashk mizhgān-e-tar pūñjī hai

    ye samar us shajar pūñjī hai

    aah ko mat haqīr jaan yahī

    dūdmān-e-asar pūñjī hai

    jo ghaḌī yaad meñ tirī kaT jaa.e

    vo āThoñ pahar pūñjī hai

    jalva-e-yār hai aziiz bahut

    yahī ahl-e-nazar pūñjī hai

    jald achchhā ho ye ta.ālallāh

    yahī 'inshā' ke ghar pūñjī hai

    terī baḳhshī hui ḳhudāvandā

    merī ye umr bhar ke pūñjī hai

    maiñ tire sadqe bas yahī mere

    dil-o-jān-o-jigar pūñjī hai

    ashk mizhgan-e-tar ki punji hai

    ye samar us shajar ki punji hai

    aah ko mat haqir jaan yahi

    dudman-e-asar ki punji hai

    jo ghaDi yaad mein teri kaT jae

    wo hi aaThon pahar ki punji hai

    jalwa-e-yar hai aziz bahut

    yahi ahl-e-nazar ki punji hai

    jald achchha ho ye taalallah

    yahi 'insha' ke ghar ki punji hai

    teri baKHshi hui KHudawanda

    meri ye umr bhar ke punji hai

    main tere sadqe bas yahi mere

    dil-o-jaan-o-jigar ki punji hai

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 162)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now