aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk yun bahte hain sawan ki jhaDi ho jaise

Raza Hamdani

ashk yun bahte hain sawan ki jhaDi ho jaise

Raza Hamdani

MORE BYRaza Hamdani

    ashk yuuñ bahte haiñ sāvan jhaḌī ho jaise

    kahīñ pahle-pahal aañkh laḌī ho jaise

    kitnī yādoñ ne satāyā hai mirī yaad ke saath

    ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ kaḌī ho jaise

    bū-e-kākul tarah phail gayā shab sukūt

    terī aamad bhī qayāmat ghaḌī ho jaise

    yuuñ nazar aate haiñ iḳhlās meñ Duube hue dost

    dushmanoñ par koī uftād paḌī ho jaise

    jalva-e-dār idhar jannat-e-dīdār udhar

    zindagī aaj dorāhe pe khaḌī ho jaise

    yuuñ ḳhayāl aate har saañs meñ mahsūs huā

    ġham-e-mahbūb tirī umr baḌī ho jaise

    ashk yun bahte hain sawan ki jhaDi ho jaise

    ya kahin pahle-pahal aankh laDi ho jaise

    kitni yaadon ne sataya hai meri yaad ke sath

    gham-e-dauran gham-e-jaanan ki kaDi ho jaise

    bu-e-kakul ki tarah phail gaya shab ka sukut

    teri aamad bhi qayamat ki ghaDi ho jaise

    yun nazar aate hain iKHlas mein Dube hue dost

    dushmanon par koi uftad paDi ho jaise

    jalwa-e-dar idhar jannat-e-didar udhar

    zindagi aaj dorahe pe khaDi ho jaise

    yun KHayal aate hi har sans mein mahsus hua

    gham-e-mahbub teri umr baDi ho jaise

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 274)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now