aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asrar baDi der mein ye mujh pe khula hai

Zulfiqar Ahsan

asrar baDi der mein ye mujh pe khula hai

Zulfiqar Ahsan

MORE BYZulfiqar Ahsan

    asrār baḌī der meñ ye mujh pe khulā hai

    anvār mamba.a mire siine meñ chhupā hai

    kyā soch ke bhar aa.ī haiñ ye jhiil āñkheñ

    kyā soch ke dariyā ke kināre khaḌā hai

    bujhte hue is diip tum hausla dekho

    jo sub.h talak tez havāoñ se laḌā hai

    uftād paḌī jab to huā mujh se gurezāñ

    saa.e tarah jo bhī mire saath rahā hai

    zarrāt sūrat na bikhar jaa.e kahīñ phir

    ik ḳhvāb jo āñkhoñ meñ mirī aan basā hai

    asrar baDi der mein ye mujh pe khula hai

    anwar ka mamba mere sine mein chhupa hai

    kya soch ke bhar aai hain ye jhil si aankhen

    kya soch ke dariya ke kinare tu khaDa hai

    bujhte hue is dip ka tum hausla dekho

    jo subh talak tez hawaon se laDa hai

    uftad paDi jab to hua mujh se gurezan

    sae ki tarah jo bhi mere sath raha hai

    zarraat ki surat na bikhar jae kahin phir

    ek KHwab jo aankhon mein meri aan basa hai

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 462)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now