aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur ai ghairat-e-gul dhyan rahe ya na rahe

Shad Lakhnavi

aur ai ghairat-e-gul dhyan rahe ya na rahe

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    aur ai ġhairat-e-gul dhyān rahe na rahe

    aan baan apnī rahe jaan rahe na rahe

    dahan-e-tang muammā hai tumhīñ munsif ho

    aql is baat pe hairān rahe na rahe

    misl-e-mansūr kaheñge na kabhī kalma-e-haq

    kāfir-e-ishq haiñ īmān rahe na rahe

    zulf dariyā meñ vo dhote haiñ balā se un

    mauj-dar-mauj pareshān rahe na rahe

    yā-alī qabr meñ pūchheñ jo malak batlānā

    shāyad us vaqt hameñ dhyān rahe na rahe

    abr hai yaar hai gulzār hai ho shaġhl-e-sharāb

    phir ye kyā jāniye sāmān rahe na rahe

    ham to sadqe bhī putlā na bane kyā jāneñ

    saikḌoñ aap pe qurbān rahe na rahe

    muft dil le ke baḌe tum to siyāne Thahre

    hameñ farmā.iye nādāñ rahe na rahe

    ruḳhsat-e-rūh-e-ravāñ ho ki na ho batlāo

    jāma-e-tan meñ ye mehmān rahe na rahe

    aaj chaltī hai zabāñ naza.a meñ kal kyā mālūm

    baat karne bhī imkān rahe na rahe

    maiñ vo ġham-dost huuñ rāhat se nahīñ kaam ai 'shād'

    dard pahlū meñ rahe jaan rahe na rahe

    aur ai ghairat-e-gul dhyan rahe ya na rahe

    aan ban apni rahe jaan rahe ya na rahe

    dahan-e-tang muamma hai tumhin munsif ho

    aql is baat pe hairan rahe ya na rahe

    misl-e-mansur kahenge na kabhi kalma-e-haq

    kafir-e-ishq hain iman rahe ya na rahe

    zulf dariya mein wo dhote hain bala se un ki

    mauj-dar-mauj pareshan rahe ya na rahe

    ya-ali qabr mein puchhen jo malak batlana

    shayad us waqt hamein dhyan rahe ya na rahe

    abr hai yar hai gulzar hai ho shaghl-e-sharab

    phir ye kya jaaniye saman rahe ya na rahe

    hum to sadqe ka bhi putla na bane kya jaanen

    saikDon aap pe qurban rahe ya na rahe

    muft dil le ke baDe tum to siyane Thahre

    hamein farmaiye nadan rahe ya na rahe

    ruKHsat-e-ruh-e-rawan ho ki na ho batlao

    jama-e-tan mein ye mehman rahe ya na rahe

    aaj chalti hai zaban naza mein kal kya malum

    baat karne ka bhi imkan rahe ya na rahe

    main wo gham-dost hun rahat se nahin kaam ai 'shad'

    dard pahlu mein rahe jaan rahe ya na rahe

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-109 e-115 pdf-116)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now