Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur kya mujhse koi sahib-nazar le jaega

Faza Ibn e Faizi

aur kya mujhse koi sahib-nazar le jaega

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    aur kyā mujh se koī sāhib-nazar le jā.egā

    apne chehre par mirī gard-e-safar le jā.egā

    dastaras āsāñ nahīñ kuchh ḳhirman-e-ma.anī talak

    jo bhī aa.egā vo lafzoñ ke guhar le jā.egā

    chhāñv meñ naḳhl-e-junūñ aao Thahrā leñ use

    kaun jaltī dhuup ko sahrā se ghar le jā.egā

    āsmāñ khoj meñ ham se zamīñ bhī kho ga.ī

    kitnī pastī meñ mazāq-e-bāl-o-par le jā.egā

    maiñ tanhā huuñ yahāñ us salābat gavāh

    kaun uThā kar ye mirā sañg-e-hunar le jā.egā

    kaaT kar dast-e-duā ko mere ḳhush ho le magar

    kahāñ āḳhir ye shāḳh-e-be-samar le jā.egā

    past rakkho apnī āvāzoñ ko varna duur tak

    baat ghar raḳhna-e-dīvār-o-dar le jā.egā

    maiñ uThātā huuñ qadam hālāt rau ke ḳhilāf

    jāntā huuñ vaqt jhoñkā kidhar le jā.egā

    itnī lambī bhī nahīñ logo ye gumnāmī umr

    DhūñDh kar mujh ko shu.ūr-e-mo.atabar le jā.egā

    kārobār-e-zindagī tak haiñ ye hañgāme 'fazā'

    kyā vo saaya chhoḌ degā jo shajar le jā.egā

    aur kya mujh se koi sahib-nazar le jaega

    apne chehre par meri gard-e-safar le jaega

    dastaras aasan nahin kuchh KHirman-e-mani talak

    jo bhi aaega wo lafzon ke guhar le jaega

    chhanw mein naKHl-e-junun ki aao Thahra len use

    kaun jalti dhup ko sahra se ghar le jaega

    aasman ki khoj mein hum se zamin bhi kho gai

    kitni pasti mein mazaq-e-baal-o-par le jaega

    main hi tanha hun yahan us ki salabat ka gawah

    kaun uTha kar ye mera sang-e-hunar le jaega

    kaT kar dast-e-dua ko mere KHush ho le magar

    tu kahan aaKHir ye shaKH-e-be-samar le jaega

    past rakkho apni aawazon ko warna dur tak

    baat ghar ki raKHna-e-diwar-o-dar le jaega

    main uThata hun qadam haalat ki rau ke KHilaf

    jaanta hun waqt ka jhonka kidhar le jaega

    itni lambi bhi nahin logo ye gumnami ki umr

    DhunDh kar mujh ko shuur-e-moatabar le jaega

    karobar-e-zindagi tak hain ye hangame 'faza'

    kya wo saya chhoD dega jo shajar le jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now